sirf barha lagta hai yun
vaqt kī dastaras meñ lāzim
koī kīmiyā to zarūr hai
is taraf maiñ reza-reza bikhar rahā huuñ
aur us taraf
terī tasvīr meñ rafta-rafta
jaan paḌtī sī lag rahī hai
abhī lagā thā abhī tū ne kuchh kahā thā mujh se
mere taḳhayyul kī jannatoñ meñ
abhī surūr kī ka.ī jhāñjhareñ jhanak ga.ī thiiñ
vahm hī thā vo gumān thā vo
gumān kitnā hasīn thā vo
maiñ phir chāhtā huuñ mere masjūd
tū mujh se kuchh suḳhan kare
kuchh to bole kuchh to mujh se baat kare
is nannhī hasrat kā dāman thāme thāme
mez pe rakkhe frame ko maiñ takne lagtā huuñ
jis meñ tumhārī ek purānī
siyāh safed tasvīr lagī hai
phir maiñ tum ko chhū letā huuñ
phir tum se kuchh kah uThtā huuñ
phir lagtā hai jaise tum bhī
bol uThī ho
lekin tum kuchh nahīñ boltīñ
sirf bārhā lagtā hai yuuñ
waqt ki dastaras mein lazim
koi kimiya to zarur hai
is taraf main reza-reza bikhar raha hun
aur us taraf
teri taswir mein rafta-rafta
jaan paDti si lag rahi hai
abhi laga tha abhi tu ne kuchh kaha tha mujh se
mere taKHayyul ki jannaton mein
abhi surur ki kai jhanjharen jhanak gai thin
wahm hi tha wo guman tha wo
guman kitna hasin tha wo
main phir chahta hun mere masjud
tu mujh se kuchh suKHan kare
kuchh to bole kuchh to mujh se baat kare
is nannhi hasrat ka daman thame thame
mez pe rakkhe frame ko main takne lagta hun
jis mein tumhaari ek purani
siyah safed taswir lagi hai
phir main tum ko chhu leta hun
phir tum se kuchh kah uThta hun
phir lagta hai jaise tum bhi
bol uThi ho
lekin tum kuchh nahin boltin
sirf barha lagta hai yun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.