sitare ki ani
utar aa.ī hai shaam bām-e-ufuq se mirī ḳhalvat-e-ārzū meñ
shabistān-e-maġhrib ke rauzan se ye jhāñktā ek raushan sitāra
rag-e-jāñ meñ paivast hotā chalā jā rahā hai
kisī nuqra.ī tiir kī jagmagātī anī sā
bhaTaktā huā zehn ik hañste āñgan kā ḳhāmosh manzar liye
sochtā hai bas itnā bas itnā ki kyā
is ghaḌī merī yaad aa.ī hogī use
utar aai hai sham baam-e-ufuq se meri KHalwat-e-arzu mein
shabistan-e-maghrib ke rauzan se ye jhankta ek raushan sitara
rag-e-jaan mein paiwast hota chala ja raha hai
kisi nuqrai tir ki jagmagati ani sa
bhaTakta hua zehn ek hanste aangan ka KHamosh manzar liye
sochta hai bas itna bas itna ki kya
is ghaDi meri yaad aai hogi use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.