sitare
ye hamārī qismat ke
jitne bhī sitāre haiñ
qudrat-e-ilāhī ne
be-murād rastoñ par bāñdh kar utāre haiñ
jin kī apnī manzil hī be-nishān raste hoñ
raushnī jo ġhairoñ se musta.ār lete hoñ
kaise maiñ yaqīñ kar luuñ
merī manziloñ ke vo
mo'atabar ishāre haiñ
ye hamārī qismat ke
jitne bhī sitāre haiñ
sirf isti.āre haiñ
ye hamari qismat ke
jitne bhi sitare hain
qudrat-e-ilahi ne
be-murad raston par bandh kar utare hain
jin ki apni manzil hi be-nishan raste hon
raushni jo ghairon se mustaar lete hon
kaise main yaqin kar lun
meri manzilon ke wo
mo'atabar ishaare hain
ye hamari qismat ke
jitne bhi sitare hain
sirf istiare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.