sitaron ke nagar mein
sitāroñ ke nagar jaane kā aksar sochte haiñ ham
tumheñ apnā banāne kā bhī aksar sochte haiñ ham
ufuq ke paar jā kar chāñd taare DhūñD laane kī hamārī aarzū dekho
chalo kuchh der ḳhud ko ham tumhāre rū-ba-rū kar deñ
sitāroñ ke nagar jaane kī ḳhvāhish multavī kar deñ
ki ham jab tum ko apne sāmne paa.eñ
to saare bhīge manzar dhīre dhīre ḳhud badal jaa.eñ
zamīñ tabdīl ho kar āsmāñ ban kar hamāre sar pe chhā jaa.e
ghane bādal chhaTeñ aur saare taare dhīre dhīre se hamāre gird aa jaa.eñ
bahut se zard patte phuul ban jaa.eñ
aur aise meñ hamāre dil kī dhaḌkan meñ na.e jazbe machal jaa.eñ
chalo haañ yuuñ bhī achchhā hai
ye sarhad dil kī sarhad hai
ye vaadī hai mohabbat kī
jahāñ rañgoñ kī mahfil hai
jahāñ ḳhushiyoñ kā melā hai
jahāñ kuchh nannhī nannhī ḳhvāhishoñ kā ik jhamelā hai
chalo ye shaam yuuñ hī saj ga.ī hai
ham sitāroñ ke nagar jaane kī ḳhvāhish multavī kar deñ
ki chandā ḳhud zamīñ par aa ga.e haiñ
dil ke āñgan meñ sitāre nannhī nannhī ḳhvāhishoñ ke saj ga.e haiñ
sitaron ke nagar jaane ka aksar sochte hain hum
tumhein apna banane ka bhi aksar sochte hain hum
ufuq ke par ja kar chand tare DhunD lane ki hamari aarzu dekho
chalo kuchh der KHud ko hum tumhaare ru-ba-ru kar den
sitaron ke nagar jaane ki KHwahish multawi kar den
ki hum jab tum ko apne samne paen
to sare bhige manzar dhire dhire KHud badal jaen
zamin tabdil ho kar aasman ban kar hamare sar pe chha jae
ghane baadal chhaTen aur sare tare dhire dhire se hamare gird aa jaen
bahut se zard patte phul ban jaen
aur aise mein hamare dil ki dhaDkan mein nae jazbe machal jaen
chalo han yun bhi achchha hai
ye sarhad dil ki sarhad hai
ye wadi hai mohabbat ki
jahan rangon ki mahfil hai
jahan KHushiyon ka mela hai
jahan kuchh nannhi nannhi KHwahishon ka ek jhamela hai
chalo ye sham yun hi saj gai hai
hum sitaron ke nagar jaane ki KHwahish multawi kar den
ki chanda KHud zamin par aa gae hain
dil ke aangan mein sitare nannhi nannhi KHwahishon ke saj gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.