sitam-gar
tum mujh par vārid hue
ik sitamgar kī tarah
may kī vo shaam thī
mujhe aaj bhī yaad hai
safed rañg kī shirt pahne
haath meñ aḳhbār rol kiye
tum pinDāl kī kursī par birājmān the
pahlī nazar meñ tum aam se the
jaise tum āshiq ho aur maiñ mahbūb
merī nazar kā lams tumheñ ḳhāsā ḳhaas kar gayā
dekho
kahānī ne palTā khāyā
tum muhib ban ga.e aur maiñ dīvānī kahlā.ī
mere aate hī tum simaT ga.e
tab se aaj tak vaise hī merī ruuh meñ
ek koñpal kī tarah simTe baiThe ho
maiñ muntazir huuñ
kab ehsās kā nāzuk parinda añgḌā.ī le
tum apnī bāñheñ phailā.e
isī pinDāl kī isī kursī par
gahrī ḳhāmoshī se shor karte hue
merī taraf baḌho
ki dekhne vāloñ ko pākīza mohabbat
raqs kartī dikhā.ī de
jis meñ na numā.ish ho na havas
bas ik surūr ho
aur maiñ
maiñ zamīn ke isī be-bas be-his TukḌe par āñkheñ mūñde tumheñ dekhtī rahūñ
pachhtāve kā jaal aaj tak mujhe lapeT meñ jakḌe hai
maiñ kisī asīr-zādī kī tarah
apnī qaid ko taqdīr kā likhā jaan kar ḳhush huuñ
maiñ iz.hār-o-iqrār se barī
apnī ḳhvāhish par hayā kī chādar Daale
mohabbat kā tauq gale meñ laTkā.e
ḳhamoshī ko laboñ par sajā.e
nā-ummīdī ko shikast dete hue
gūñgī bahrī andhī mohabbat par iktifā kiye hue huuñ
ki asiir ḳhvāhish-o-farmā.ish kā haq nahīñ rakhte
tum mujh par warid hue
ek sitamgar ki tarah
may ki wo sham thi
mujhe aaj bhi yaad hai
safed rang ki shirt pahne
hath mein aKHbar rol kiye
tum pinDal ki kursi par birajman the
pahli nazar mein tum aam se the
jaise tum aashiq ho aur main mahbub
meri nazar ka lams tumhein KHasa KHas kar gaya
dekho
kahani ne palTa khaya
tum muhib ban gae aur main diwani kahlai
mere aate hi tum simaT gae
tab se aaj tak waise hi meri ruh mein
ek konpal ki tarah simTe baiThe ho
main muntazir hun
kab ehsas ka nazuk parinda angDai le
tum apni banhen phailae
isi pinDal ki isi kursi par
gahri KHamoshi se shor karte hue
meri taraf baDho
ki dekhne walon ko pakiza mohabbat
raqs karti dikhai de
jis mein na numaish ho na hawas
bas ek surur ho
aur main
main zamin ke isi be-bas be-his TukDe par aankhen munde tumhein dekhti rahun
pachhtawe ka jal aaj tak mujhe lapeT mein jakDe hai
main kisi asir-zadi ki tarah
apni qaid ko taqdir ka likha jaan kar KHush hun
main izhaar-o-iqrar se bari
apni KHwahish par haya ki chadar Dale
mohabbat ka tauq gale mein laTkae
KHamoshi ko labon par sajae
na-ummidi ko shikast dete hue
gungi bahri andhi mohabbat par iktifa kiye hue hun
ki asir KHwahish-o-farmaish ka haq nahin rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.