Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

siyah aaine

Zahida Zaidi

siyah aaine

Zahida Zaidi

MORE BYZahida Zaidi

    maiñ kab se qaid huuñ

    batāo kab se qaid huuñ

    siyāh ā.īnoñ ke darmiyāñ

    siyāhiyoñ ke āfrīda

    ye siyāh-dil siyāh-batn ā.īne

    ki jin ke hausle siyāh haiñ

    ki jin ke valvale siyāh haiñ

    ki jin ke qahqahe siyāh haiñ

    siyāh qahqahoñ se naġhma-e-sukūt muntashir

    siyāh beḌiyoñ se masti-e-ḳhirām munjamid

    siyāh hādsoñ se vaqt-e-tezgām jāñ-balab

    siyāh kirchiyoñ se raqs-e-nā-tamām ḳhūñ-chakāñ

    siyāh sāzishoñ meñ munhamik

    ye ā.īne

    ki jin meñ merā aks-e-ruḳh siyāh ho gayā

    kiran kiran siyāhiyoñ meñ gosha-gīr

    nafas-nafas siyāhiyoñ meñ hai asiir

    vo habs hai ki al-amāñ

    maiñ kab se qaid huuñ

    batā.ūñ kaise kab se qaid huuñ

    siyāh ā.īnoñ ke darmiyāñ

    main kab se qaid hun

    batao kab se qaid hun

    siyah aainon ke darmiyan

    siyahiyon ke aafrida

    ye siyah-dil siyah-batn aaine

    ki jin ke hausle siyah hain

    ki jin ke walwale siyah hain

    ki jin ke qahqahe siyah hain

    siyah qahqahon se naghma-e-sukut muntashir

    siyah beDiyon se masti-e-KHiram munjamid

    siyah hadson se waqt-e-tezgam jaan-balab

    siyah kirchiyon se raqs-e-na-tamam KHun-chakan

    siyah sazishon mein munhamik

    ye aaine

    ki jin mein mera aks-e-ruKH siyah ho gaya

    kiran kiran siyahiyon mein gosha-gir

    nafas-nafas siyahiyon mein hai asir

    wo habs hai ki al-aman

    main kab se qaid hun

    bataun kaise kab se qaid hun

    siyah aainon ke darmiyan

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now