siyah hote gulabon ka nauha
baḌhtī huī ḳhunkī ke saath
daraḳhtoñ ne
libās badalnā shurūa kiyā
ajab rut hai
zardī meñ malbūs ashjār
ḳhāmosh khaḌe haiñ
hijr zada barahna Tahniyāñ
sard havā ke sāmne bebas pattoñ kī
chīḳh-o-pukār sun kar bhī un kī
madad na kar sakeñ
tanhā.ī kisī jhoñke kī tarah nāchtī huī gulistāñ meñ dāḳhil huī
aur ek safed phuul toḌ kar
ḳhaak pe pheñkā
chaman ke saare phuul murjhāne lage
rangat kī tabdīlī kā mātam thā yā phir
is phuul ke miTTī hone kā
maiñ ek kone meñ baiThī
be-rahm mausamoñ ke tuyūr
uḌte hue dekh kar
soch rahī huuñ
mujhe ab
siyāh hote gulāboñ kā nauha likhnā hai
baDhti hui KHunki ke sath
daraKHton ne
libas badalna shurua kiya
ajab rut hai
zardi mein malbus ashjar
KHamosh khaDe hain
hijr zada barahna Tahniyan
sard hawa ke samne bebas patton ki
chiKH-o-pukar sun kar bhi un ki
madad na kar saken
tanhai kisi jhonke ki tarah nachti hui gulistan mein daKHil hui
aur ek safed phul toD kar
KHak pe phenka
chaman ke sare phul murjhane lage
rangat ki tabdili ka matam tha ya phir
is phul ke miTTi hone ka
main ek kone mein baiThi
be-rahm mausamon ke tuyur
uDte hue dekh kar
soch rahi hun
mujhe ab
siyah hote gulabon ka nauha likhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.