siyah sayon ki tishnagi mein
siyāh sāyoñ kī tishnagī meñ
udaas lamhoñ ko saath rakkho
shikasta lafzoñ ke sāhiloñ par
safed jhāgoñ meñ aks DhūñDo
khañDar kī bosīdgī meñ chhup kar
purānī yādoñ ke hoñT chūmo
ḳhalā ke shānoñ pe haath rakh kar
siyāhī-e-shab kī zulf sūñgho
sahar kī nāzuk havā kī ujlī kalā.ī pakḌo
badan kī piilī barahnagī ko bayān kar do
siyah sayon ki tishnagi mein
udas lamhon ko sath rakkho
shikasta lafzon ke sahilon par
safed jhagon mein aks DhunDo
khanDar ki bosidgi mein chhup kar
purani yaadon ke honT chumo
KHala ke shanon pe hath rakh kar
siyahi-e-shab ki zulf sungho
sahar ki nazuk hawa ki ujli kalai pakDo
badan ki pili barahnagi ko bayan kar do
- Book : Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.