siyani
kabhī kabhī mirī guḌiyā kī
hañste hañste bhī aksar
āñkheñ nam ho jaatī haiñ
kabhī vaqt-e-sahar kabhī shaam Dhale
bilā-vaj.h kabhī rote rote vo
hañs bhī paḌtī hai
mujh ko aisā lagtā hai
ab vo siyānī ho ga.ī hai
ḳhud par hañsnā siikh rahī hai
kabhi kabhi meri guDiya ki
hanste hanste bhi aksar
aankhen nam ho jati hain
kabhi waqt-e-sahar kabhi sham Dhale
bila-wajh kabhi rote rote wo
hans bhi paDti hai
mujh ko aisa lagta hai
ab wo siyani ho gai hai
KHud par hansna sikh rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.