siyani
vo laḌkī har pahelī buujh letī hai
use har muamma hal karnā aatā hai
har uljhan ko suljhā letī hai
har mas.ale kā hal talāsh kar letī hai
har mushkil ko āsān banā detī hai
har pareshānī duur kar detī hai
chāñd ke us paar kī ḳhabar le aatī hai
gahre samundar kī tah meñ jhāñk letī hai
hathelī par naqsh lakīreñ paḌh saktī hai
chehre par ubhrī huī tahrīreñ samajh jaatī hai
āñkhoñ meñ chhupe hue dard jaan letī hai
tamām savālāt ke javāb use aate haiñ
bas mere ek savāl kā javāb kabhī nahīñ detī
vo laḌkī hai yā koī pahelī hai
wo laDki har paheli bujh leti hai
use har muamma hal karna aata hai
har uljhan ko suljha leti hai
har masale ka hal talash kar leti hai
har mushkil ko aasan bana deti hai
har pareshani dur kar deti hai
chand ke us par ki KHabar le aati hai
gahre samundar ki tah mein jhank leti hai
hatheli par naqsh lakiren paDh sakti hai
chehre par ubhri hui tahriren samajh jati hai
aankhon mein chhupe hue dard jaan leti hai
tamam sawalat ke jawab use aate hain
bas mere ek sawal ka jawab kabhi nahin deti
wo laDki hai ya koi paheli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.