siyasat
bāñdh ke ghuñghrū siyāsat hī nachātī hai hameñ
aur ham nāchte rahte haiñ tavā.if kī tarah
aur hukūmat ke ishāroñ pe hamāre Thumke
ye batāte haiñ ki ham bhī haiñ razā-mand yahāñ
kaun haiñ kans yā rāvan ke taraf-dār kaho
kaun ham meñ se hai zālim kā taraf-dār kaho
vaqt be-vaqt mile zaḳhm ke nāsūr to haiñ
ham bhī iisā pe hue zulm se ranjūr to haiñ
sun bhī lo hazrat-e-shabbīr pe rone vaalo
in mazālim pe yahāñ ashk-bār ham bhī to haiñ
haiñ agar raam hamāre to tumhāre bhī to haiñ
bas mohammad haiñ musalmāñ ke to aisā bhī nahīñ
gāmzan rāh-e-sadāqat pe agar haiñ ham bhī
to ye nānak pe kisī qaum kā da.avā kyoñ ho
ab hameñ kaun paḌhātā hai ye nafrat ke sabaq
ye vahī qaum hai kahte haiñ siyāsat jis ko
bāñdh ke ghuñghrū siyāsat hī nachātī hai hameñ
aur ham nāchte rahte haiñ tavā.if kī tarah
bandh ke ghunghru siyasat hi nachati hai hamein
aur hum nachte rahte hain tawaif ki tarah
aur hukumat ke ishaaron pe hamare Thumke
ye batate hain ki hum bhi hain raza-mand yahan
kaun hain kans ya rawan ke taraf-dar kaho
kaun hum mein se hai zalim ka taraf-dar kaho
waqt be-waqt mile zaKHm ke nasur to hain
hum bhi isa pe hue zulm se ranjur to hain
sun bhi lo hazrat-e-shabbir pe rone walo
in mazalim pe yahan ashk-bar hum bhi to hain
hain agar ram hamare to tumhaare bhi to hain
bas mohammad hain musalman ke to aisa bhi nahin
gamzan rah-e-sadaqat pe agar hain hum bhi
to ye nanak pe kisi qaum ka dawa kyon ho
ab hamein kaun paDhata hai ye nafrat ke sabaq
ye wahi qaum hai kahte hain siyasat jis ko
bandh ke ghunghru siyasat hi nachati hai hamein
aur hum nachte rahte hain tawaif ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.