siyasi leader ke nam
sāl-hā-sāl ye be-āsrā jakḌe hue haath
raat ke saḳht o siyah siine maiñ paivast rahe
jis tarah tinkā samundar se ho sargarm-e-satīz
jis tarah tītarī kohsār pe yalġhār kare
aur ab raat ke sañgīn o siyah siine meñ
itne ghaav haiñ ki jis samt nazar jaatī hai
jā-ba-jā nuur nai ik jaal sā bun rakhā hai
duur se sub.h kī dhaḌkan kī sadā aatī hai
terā sarmāya tirī aas yahī haath to haiñ
aur kuchh bhī to nahīñ paas yahī haath to haiñ
tujh ko manzūr nahīñ ġhalba-e-zulmat lekin
tujh ko manzūr hai ye haath qalam ho jaa.eñ
aur mashriq kī kamīñ-gah meñ dhaḌaktā huā din
raat kī āhanī mayyat ke tale dab jaa.e!
sal-ha-sal ye be-asra jakDe hue hath
raat ke saKHt o siyah sine main paiwast rahe
jis tarah tinka samundar se ho sargarm-e-satiz
jis tarah titari kohsar pe yalghaar kare
aur ab raat ke sangin o siyah sine mein
itne ghaw hain ki jis samt nazar jati hai
ja-ba-ja nur nai ek jal sa bun rakha hai
dur se subh ki dhaDkan ki sada aati hai
tera sarmaya teri aas yahi hath to hain
aur kuchh bhi to nahin pas yahi hath to hain
tujh ko manzur nahin ghalba-e-zulmat lekin
tujh ko manzur hai ye hath qalam ho jaen
aur mashriq ki kamin-gah mein dhaDakta hua din
raat ki aahani mayyat ke tale dab jae!
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 111)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.