soch ka dhaara
mirī dahlīz kā patthar hai
tum chāho to le jaao use
sab patthar ek se hote haiñ
kal bhī
ik bachcha aayā thā
sahmā
sahmā
maiñ ne us se
ye baat kahī
tum chāho to le jaao use
sab patthar ek se hote haiñ
bachcha ek-dam bol paḌā
kuchh patthar hiire hote haiñ
maiñ
aql-o-ḳhirad kā shaidā.ī
maiñ ne jab is par ġhaur kiyā
aur aañkh khulī
mire sāmne but thā patthar kā
patthar kā ye but
mandir kā ḳhudā
ka.abe kā sanam
mazdūr kā fan
maiñ kyā samjhūñ maiñ kyā jānūñ
hiirā ki sanam
patthar ki ḳhudā
meri dahliz ka patthar hai
tum chaho to le jao use
sab patthar ek se hote hain
kal bhi
ek bachcha aaya tha
sahma
sahma
main ne us se
ye baat kahi
tum chaho to le jao use
sab patthar ek se hote hain
bachcha ek-dam bol paDa
kuchh patthar hire hote hain
main
aql-o-KHirad ka shaidai
main ne jab is par ghaur kiya
aur aankh khuli
mere samne but tha patthar ka
patthar ka ye but
mandir ka KHuda
kabe ka sanam
mazdur ka fan
main kya samjhun main kya jaanun
hira ki sanam
patthar ki KHuda
- Book : Soch Nager (Pg. 31)
- Author : Hassan Aabid
- Publication : Karwa.n Publications (1980)
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.