soch ki sham
jism kā jas ruup kā ras kaam kā kas
zindagī kī ye suhānī dhuup bahlātī rahī hai mere man ko
ḳhuub garmāti rahī hai ārzūoñ kī pavan ko
aur chamkātī rahī hai apne-pan ko
de ke ik nashsha nayan ko
lazzatoñ meñ Duub kar bhī
maiñ ubhartā hī rahā huuñ
soch kī be-tāb lahreñ zehn meñ raqsāñ rahī haiñ
lekin ab to ik udāsī chhā ga.ī hai
soch kī shaam aa ga.ī hai
zindagī ghabrā ga.ī hai
jism ka jas rup ka ras kaam ka kas
zindagi ki ye suhani dhup bahlati rahi hai mere man ko
KHub garmati rahi hai aarzuon ki pawan ko
aur chamkati rahi hai apne-pan ko
de ke ek nashsha nayan ko
lazzaton mein Dub kar bhi
main ubharta hi raha hun
soch ki be-tab lahren zehn mein raqsan rahi hain
lekin ab to ek udasi chha gai hai
soch ki sham aa gai hai
zindagi ghabra gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.