sochiye
jashn-e-jamhūr manānā hai magar socho to
jashn-e-jamhūr manāne kā hameñ haq bhī hai
mulk āzād hue ho gayā arsa lekin
vahī sarmāya-parastī hai vahī nādārī
bakriyāñ aaj bhī pyāsī nazar aatī haiñ mujhe
ghaaT par ab bhī hai sheroñ kī ijāra-dārī
haañ vahī log zamāna jinheñ kahtā hai ġharīb
ab to pahle se bhī chhoTe nazar aate haiñ mujhe
nazm-e-jamhūr kī saugand palānoñ kī qasam
seTh jī aur bhī moTe nazar aate haiñ mujhe
hai dimāġhoñ meñ vahī firqa-parastī kā junūñ
yuuñ to kahne ko hai ā.īn-e-vatan jamhūrī
gaa.e bailoñ pe jhagaḌte haiñ abhī tak insāñ
aaj bhī shaiḳh-o-barahman meñ hai kitnī duurī
haiñ abhī ahd-e-ġhulāmī kī vo farsūda rusūm
had-e-tahzīb-o-tamaddun se har ek out hai
dekhiye jashn-e-masarrat kā nirālā andāz
ghar munavvar haiñ dimāġhoñ meñ black out hai
haisiyat itnī sī rakhtā hai ye jashn-e-jamhūr
buġhz kā dev kisī roz to so jaatā hai
is bahāne hī mire des meñ ik saal ke baad
ek din zikr-e-musāvāt to ho jaatā hai
jashn-e-jamhur manana hai magar socho to
jashn-e-jamhur manane ka hamein haq bhi hai
mulk aazad hue ho gaya arsa lekin
wahi sarmaya-parasti hai wahi nadari
bakriyan aaj bhi pyasi nazar aati hain mujhe
ghaT par ab bhi hai sheron ki ijara-dari
han wahi log zamana jinhen kahta hai gharib
ab to pahle se bhi chhoTe nazar aate hain mujhe
nazm-e-jamhur ki saugand palanon ki qasam
seTh ji aur bhi moTe nazar aate hain mujhe
hai dimaghon mein wahi firqa-parasti ka junun
yun to kahne ko hai aain-e-watan jamhuri
gae bailon pe jhagaDte hain abhi tak insan
aaj bhi shaiKH-o-barahman mein hai kitni duri
hain abhi ahd-e-ghulami ki wo farsuda rusum
had-e-tahzib-o-tamaddun se har ek out hai
dekhiye jashn-e-masarrat ka nirala andaz
ghar munawwar hain dimaghon mein black out hai
haisiyat itni si rakhta hai ye jashn-e-jamhur
bughz ka dew kisi roz to so jata hai
is bahane hi mere des mein ek sal ke baad
ek din zikr-e-musawat to ho jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.