sochne do
Interesting Fact
Dedicated to Andre Wozniski
ik zarā sochne do
is ḳhayābāñ meñ
jo is lahza bayābāñ bhī nahīñ
kaun sī shāḳh meñ phuul aa.e the sab se pahle
kaun be-rañg huī rañj-o-ta.ab se pahle
aur ab se pahle
kis ghaḌī kaun se mausam meñ yahāñ
ḳhuun kā qaht paḌā
gul kī shah-rag pe kaḌā
vaqt paḌā
sochne do
sochne do
ik zarā sochne do
ye bharā shahr jo ab vādi-e-vīrāñ bhī nahīñ
is meñ kis vaqt kahāñ
aag lagī thī pahle
is ke saf-basta darīchoñ meñ se kis meñ avval
zah huī surḳh shuāoñ kī kamāñ
kis jagah jot jagī thī pahle
sochne do
ham se us des kā tum naam o nishāñ pūchhte ho
jis kī tārīḳh na juġhrāfiya ab yaad aa.e
aur yaad aa.e to mahbūb-e-guzishta yaad aa.e
rū-ba-rū aane se jī ghabrā.e
haañ magar jaise koī
aise mahbūb yā mahbūba kā dil rakhne ko
aa nikaltā hai kabhī raat bitāne ke liye
ham ab us umr ko aa pahuñche haiñ jab ham bhī yūñhī
dil se mil aate haiñ bas rasm nibhāne ke liye
dil kī kyā pūchhte ho
sochne do
Let Me Think
ek zara sochne do
is KHayaban mein
jo is lahza bayaban bhi nahin
kaun si shaKH mein phul aae the sab se pahle
kaun be-rang hui ranj-o-tab se pahle
aur ab se pahle
kis ghaDi kaun se mausam mein yahan
KHun ka qaht paDa
gul ki shah-rag pe kaDa
waqt paDa
sochne do
sochne do
ek zara sochne do
ye bhara shahr jo ab wadi-e-viran bhi nahin
is mein kis waqt kahan
aag lagi thi pahle
is ke saf-basta darichon mein se kis mein awwal
zah hui surKH shuaon ki kaman
kis jagah jot jagi thi pahle
sochne do
hum se us des ka tum nam o nishan puchhte ho
jis ki tariKH na jughrafiya ab yaad aae
aur yaad aae to mahbub-e-guzishta yaad aae
ru-ba-ru aane se ji ghabrae
han magar jaise koi
aise mahbub ya mahbuba ka dil rakhne ko
aa nikalta hai kabhi raat bitane ke liye
hum ab us umr ko aa pahunche hain jab hum bhi yunhi
dil se mil aate hain bas rasm nibhane ke liye
dil ki kya puchhte ho
sochne do
Let Me Think
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 423)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.