sochta hun ki
laakh shādāb ho ābād ho duniyā kā chaman
dil kī qismat meñ hai tanhā.ī ke kāñTe kī chubhan
be-sahārā ye hamesha se rahā hai yaaro
us ne har dard akele hī sahā hai yaaro
sirf ik raaz jo siine meñ chhupā baiThā hai
dost ban kar use taskīn diyā kartā hai
sochtā huuñ ki maiñ vo raaz bhī ifshā kar duuñ
dil ko ab dahr meñ bilkul hī akelā kar duuñ
lakh shadab ho aabaad ho duniya ka chaman
dil ki qismat mein hai tanhai ke kanTe ki chubhan
be-sahaara ye hamesha se raha hai yaro
us ne har dard akele hi saha hai yaro
sirf ek raaz jo sine mein chhupa baiTha hai
dost ban kar use taskin diya karta hai
sochta hun ki main wo raaz bhi ifsha kar dun
dil ko ab dahr mein bilkul hi akela kar dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.