sone ki tamanna
jaanī
aaj kī shab
kuchh aisī niiñd sulā do mujh ko
ki kal sub.h
jab aañkh khule to maut kī sarhad paar huī ho
ik aisā jaam pilā do mujh ko
ki kal sub.h
jab aañkh khule
to merā nafs tire shīshe se zyāda saaf huā ho
kuchh is tarah se rulā do mujh ko
ki kal sub.h
jab aañkh khule to
nuur kā pahlā qatra aañkh se ho kar saare dil meñ phail gayā ho
aaj kī shab
sone kī tamanna kar lene do
kal sub.h
jab aañkh khule to
so kar jāgne vaale sab jazboñ se dil āzād huā ho
jaanī
kabhī to apnī man-mānī bhī kar lene do
kabhī to apnī god meñ so kar mar lene do
jaani
aaj ki shab
kuchh aisi nind sula do mujh ko
ki kal subh
jab aankh khule to maut ki sarhad par hui ho
ek aisa jam pila do mujh ko
ki kal subh
jab aankh khule
to mera nafs tere shishe se zyaada saf hua ho
kuchh is tarah se rula do mujh ko
ki kal subh
jab aankh khule to
nur ka pahla qatra aankh se ho kar sare dil mein phail gaya ho
aaj ki shab
sone ki tamanna kar lene do
kal subh
jab aankh khule to
so kar jagne wale sab jazbon se dil aazad hua ho
jaani
kabhi to apni man-mani bhi kar lene do
kabhi to apni god mein so kar mar lene do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.