sota jagta saya
tū chalī jā ki mujhe terī zarūrat bhī nahīñ
maiñ shab-o-roz kī miTTī se dobāra bhī janam le lūñgā
maiñ jo zindoñ meñ huuñ zindoñ meñ nahīñ
maiñ parindoñ meñ darindoñ meñ nahīñ
faqat insānoñ meñ maujūd hai saaya merā
muddateñ biit ga.ī haiñ magar anjām na aayā merā
maiñ sipāhī to nahīñ phir bhī laḌī haiñ ka.ī jañgeñ maiñ ne
pahlī hī jañg thī vo jis meñ kaTe haath mire
dūsrī jañg meñ baazū bhī ga.e
tīsrī jañg meñ phūTī mirī donoñ āñkheñ
aur phir jañg pe jañg
ab mire jism kā hissa nahīñ aisā koī
jis meñ zaḳhmoñ ke nishāñ raat se kam gahre hoñ
āḳhirī zaḳhm lagāyā tū ne
tū ne ḳhāmoshī kī shamshīr se maarā mujh ko
ab janam lenā hai duniyā meñ dobāra mujh ko
phir na.e haath na.e baazū na.ī aañkh lagānī hai mujhe
phir masīhā.ī dikhānī hai mujhe
phir na.ī jañg kī karnī hai mujhe tayyārī
aañkh ko phoḌnā hai DhūñDnī hai bedārī
tū mujhe maar ke ḳhush thī ki maiñ mar jā.ūñgā
sūkhī miTTī kī tarah ḳhud hī bikhar jā.ūñgā
magar ai merī aziyyat kī amiiñ
maiñ tire ḳhuun meñ maujūd rahūñgā har vaqt
surḳh zarroñ kī tarah jin meñ havā hotī hai
zinda rahne kī adā hotī hai
tū mujhe kaun sī talvār se kāTegī batā
ab safar merā tirī chaltī huī saañs ke andar hogā
tu chali ja ki mujhe teri zarurat bhi nahin
main shab-o-roz ki miTTi se dobara bhi janam le lunga
main jo zindon mein hun zindon mein nahin
main parindon mein darindon mein nahin
faqat insanon mein maujud hai saya mera
muddaten bit gai hain magar anjam na aaya mera
main sipahi to nahin phir bhi laDi hain kai jangen main ne
pahli hi jang thi wo jis mein kaTe hath mere
dusri jang mein bazu bhi gae
tisri jang mein phuTi meri donon aankhen
aur phir jang pe jang
ab mere jism ka hissa nahin aisa koi
jis mein zaKHmon ke nishan raat se kam gahre hon
aaKHiri zaKHm lagaya tu ne
tu ne KHamoshi ki shamshir se mara mujh ko
ab janam lena hai duniya mein dobara mujh ko
phir nae hath nae bazu nai aankh lagani hai mujhe
phir masihai dikhani hai mujhe
phir nai jang ki karni hai mujhe tayyari
aankh ko phoDna hai DhunDni hai bedari
tu mujhe mar ke KHush thi ki main mar jaunga
sukhi miTTi ki tarah KHud hi bikhar jaunga
magar ai meri aziyyat ki amin
main tere KHun mein maujud rahunga har waqt
surKH zarron ki tarah jin mein hawa hoti hai
zinda rahne ki ada hoti hai
tu mujhe kaun si talwar se kaTegi bata
ab safar mera teri chalti hui sans ke andar hoga
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 643)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.