sote jagte dard
shaam kī god se
dard le le ke añgḌā.ī uThne lagā
nīstī hai kasak
dil meñ jaagī taḌap
zehn ke dasht meñ yaad ke kārvāñ chal paḌe
raat hai mehrbāñ
thaal dīpak ke sar pe uThā.e hue
chehra kaalī ridā se chhupā.e hue
saath meñ chal paḌī
sub.h sūraj kī pahlī rau pahlī kiran
shab ke chehre se chādar haTā.egī jab
nuur apnā vo din par lūTā.egī jab
yaad ke kārvāñ thak ke so jā.eñge
dard din ke ujāle meñ kho jā.eñge
sham ki god se
dard le le ke angDai uThne laga
nisti hai kasak
dil mein jagi taDap
zehn ke dasht mein yaad ke karwan chal paDe
raat hai mehrban
thaal dipak ke sar pe uThae hue
chehra kali rida se chhupae hue
sath mein chal paDi
subh suraj ki pahli rau pahli kiran
shab ke chehre se chadar haTaegi jab
nur apna wo din par luTaegi jab
yaad ke karwan thak ke so jaenge
dard din ke ujale mein kho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.