soz-e-dil
dil hai faulād kā patthar kā jigar rakhte haiñ
jaan jokhoñ meñ kaf-e-dast pe sar rakhte haiñ
ḳhuuñ rulā.egā tujhe bhī merā afsāna-e-ġham
ham-qafas pūchh na kyoñ dīda-e-tar rakhte haiñ
kyoñ na taḌpā.e hameñ apne vatan kī hālat
soz-e-dil rakhte haiñ ham dard-e-jigar rakhte haiñ
ai jafā-kār tū mazlūm kī fariyād se Dar
ye vo bande haiñ ki aahoñ meñ sharar rakhte haiñ
vo tahī-dast haiñ jo zor na zar rakhte haiñ
jazba-e-hubb-e-vatan dil meñ magar rakhte haiñ
kis ko dete haiñ bhalā dār-o-rasan kī dhamkī
kyā Darāte ho ki ham tīr-o-tabar rakhte haiñ
ham ko pistaul kā Dar hai na mashīnoñ kā ḳhatar
mard-e-maidān haiñ ham sīna-sipar rakhte haiñ
koī bhālā hai na ḳhanjar hai na bam hāthoñ meñ
aur na talvār ko ham zeb-e-kamar rakhte haiñ
tum ko tāqat kā bharosa hai jo bedād-garo
ham ko ye naaz ki nāloñ meñ asar rakhte haiñ
rahnumāoñ kī tamanna hai na rahzan kā ḳhatar
ham vo rah-rau haiñ ki manzil pe nazar rakhte haiñ
ham bhī āzād vatan ko kabhī dekheñ 'sābir'
ye duā vird-e-zabāñ shām-o-sahar rakhte haiñ
dil hai faulad ka patthar ka jigar rakhte hain
jaan jokhon mein kaf-e-dast pe sar rakhte hain
KHun rulaega tujhe bhi mera afsana-e-gham
ham-qafas puchh na kyon dida-e-tar rakhte hain
kyon na taDpae hamein apne watan ki haalat
soz-e-dil rakhte hain hum dard-e-jigar rakhte hain
ai jafa-kar tu mazlum ki fariyaad se Dar
ye wo bande hain ki aahon mein sharar rakhte hain
wo tahi-dast hain jo zor na zar rakhte hain
jazba-e-hubb-e-watan dil mein magar rakhte hain
kis ko dete hain bhala dar-o-rasan ki dhamki
kya Daraate ho ki hum tir-o-tabar rakhte hain
hum ko pistaul ka Dar hai na mashinon ka KHatar
mard-e-maidan hain hum sina-sipar rakhte hain
koi bhaala hai na KHanjar hai na bam hathon mein
aur na talwar ko hum zeb-e-kamar rakhte hain
tum ko taqat ka bharosa hai jo bedad-garo
hum ko ye naz ki nalon mein asar rakhte hain
rahnumaon ki tamanna hai na rahzan ka KHatar
hum wo rah-rau hain ki manzil pe nazar rakhte hain
hum bhi aazad watan ko kabhi dekhen 'sabir'
ye dua wird-e-zaban sham-o-sahar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.