status update
qahqahe lagātī haiñ
uñgliyoñ kī poreñ
aur kabhī mātam karne lagtī haiñ
bāñTtī rahtī haiñ
lafzoñ ke phīke mīThe
kaḌve aur tursh zā.iqe
har na.ī sub.h
yādoñ kī piTārī se
nikāl laatī haiñ koī jādūī kabūtar
milī-julī āvāzeñ Takrātī rahtī haiñ
āñkhoñ ke parde se
aur poreñ aage chal paḌtī haiñ
che-mī-goīyāñ aur sargoshiyāñ
kone khudroñ meñ chhupā.e
sandūqchoñ se nikal kar
reñgne lagtī haiñ dīvāroñ par
ThiThuk jaatī haiñ poreñ
aur kabhī zer-e-lab muskurāne lagtī haiñ
ye soche baġhair ki
what's on your mind
qahqahe lagati hain
ungliyon ki poren
aur kabhi matam karne lagti hain
banTti rahti hain
lafzon ke phike miThe
kaDwe aur tursh zaiqe
har nai subh
yaadon ki piTari se
nikal lati hain koi jadui kabutar
mili-juli aawazen Takraati rahti hain
aankhon ke parde se
aur poren aage chal paDti hain
che-mi-goiyan aur sargoshiyan
kone khudron mein chhupae
sanduqchon se nikal kar
rengne lagti hain diwaron par
ThiThuk jati hain poren
aur kabhi zer-e-lab muskurane lagti hain
ye soche baghair ki
what's on your mind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.