subh-e-id
rang-e-chaman banā hai garebān-e-sub.h-e-īd
dāmān-e-gul se kam nahīñ dāmān-e-sub.h-e-īd
kyā shai hai kyā kahūñ ruḳh-e-ḳhandān-e-sub.h-e-īd
goyā bahār par hai gulistān-e-sub.h-e-īd
bhūlā na rāt-bhar mujhe 'ālam hilāl kā
us kā zuhūr shaam thā e'lān-e-sub.h-e-īd
dushman hoñ yā ki dost gale aaj sab mileñ
jaarī huā ye dahr meñ farmān sub.h-e-īd
kaaTī hai intizār meñ maiñ ne tamām raat
pesh-e-nazar thā shaam se sāmān-e-sub.h-e-īd
har shai se kyoñ na rahmat-e-haq kā zuhūr ho
ye shān-e-sub.h-e-īd ye sāmān-e-sub.h-e-īd
hāsil huā hai aaj mujhe imbisāt-e-rūh
sau jaan se hai dil mirā qurbān-e-sub.h-e-īd
sar ḳhud-baḳhud jhukā mirā sajde ke vāste
vallāh mere sar hai ye ehsān-e-sub.h-e-īd
tār-e-shuā-e-mehr haiñ satreñ bayāz kī
surḳhī shafaq kī saaf hai 'unvān-e-sub.h-e-īd
baḳhshish ḳhudā kī aaj hai har roza-dār par
mā'mūr ne'matoñ se huā ḳhvān-e-sub.h-e-īd
kyā dil-fareb is kī haiñ rangīñ-adā.iyāñ
phūloñ se hai bharā huā dāmān-e-sub.h-e-īd
haañ lūTnā hai aaj ise daulat-e-visāl
'bāsit' hai kis adā se sanā-ḳhvān-e-sub.h-e-īd
rang-e-chaman bana hai gareban-e-subh-e-id
daman-e-gul se kam nahin daman-e-subh-e-id
kya shai hai kya kahun ruKH-e-KHandan-e-subh-e-id
goya bahaar par hai gulistan-e-subh-e-id
bhula na raat-bhar mujhe 'alam hilal ka
us ka zuhur sham tha e'lan-e-subh-e-id
dushman hon ya ki dost gale aaj sab milen
jari hua ye dahr mein farman subh-e-id
kaTi hai intizar mein main ne tamam raat
pesh-e-nazar tha sham se saman-e-subh-e-id
har shai se kyon na rahmat-e-haq ka zuhur ho
ye shan-e-subh-e-id ye saman-e-subh-e-id
hasil hua hai aaj mujhe imbisat-e-ruh
sau jaan se hai dil mera qurban-e-subh-e-id
sar KHud-baKHud jhuka mera sajde ke waste
wallah mere sar hai ye ehsan-e-subh-e-id
tar-e-shua-e-mehr hain satren bayaz ki
surKHi shafaq ki saf hai 'unwan-e-subh-e-id
baKHshish KHuda ki aaj hai har roza-dar par
ma'mur ne'maton se hua KHwan-e-subh-e-id
kya dil-fareb is ki hain rangin-adaiyan
phulon se hai bhara hua daman-e-subh-e-id
han luTna hai aaj ise daulat-e-visal
'basit' hai kis ada se sana-KHwan-e-subh-e-id
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.