subh-e-judai
ab dhundlī paḌtī jaatī hai tārīki-e-shab maiñ jaatā huuñ
vo sub.h kā taarā ubhrā vo pau phūTī ab maiñ jaatā huuñ
jaatā huuñ ijāzat jaane do vo dekho ujāle chhāne ko haiñ
sūraj kī sunahrī kirnoñ ke ḳhāmosh bulāve aane ko haiñ
vo phūloñ ke gajre jo tum kal shaam piro kar laa.ī thiiñ
vo kaliyāñ jin se tum ne ye rañgīñ sījeñ mahkā.ī thiiñ
dekho in baasī kaliyoñ kī pattī pattī murjhā.ī hai
vo raat suhānī biit chukī aa pahuñchī sub.h-e-judā.ī hai
ab mujh ko yahāñ se jaanā hai pur-shauq nigāho mat roko
o mere gale meñ laTkī huī lachkīlī baaho mat roko
in uljhī uljhī zulfoñ meñ dil apnā bisāre jaatā huuñ
in mīThī mīThī nazroñ kī yādoñ ke sahāre jaatā huuñ
jaatā huuñ ijāzat vo dekho ġhurfe se shuā.eñ jhalkī haiñ
pighle hue sone kī lahreñ mīnā-e-shafaq se chhalkī haiñ
khetoñ meñ kisī charvāhe ne bansī kī taan uḌaa.ī hai
ek ek rasīlī sur jis kī paiġhām safar kā laa.ī hai
majbūr huuñ maiñ jaanā jo huā dil maane na maane jaatā huuñ
duniyā kī añdherī ghāTī meñ ab Thokareñ khāne jaatā huuñ
ab dhundli paDti jati hai tariki-e-shab main jata hun
wo subh ka tara ubhra wo pau phuTi ab main jata hun
jata hun ijazat jaane do wo dekho ujale chhane ko hain
suraj ki sunahri kirnon ke KHamosh bulawe aane ko hain
wo phulon ke gajre jo tum kal sham piro kar lai thin
wo kaliyan jin se tum ne ye rangin sijen mahkai thin
dekho in basi kaliyon ki patti patti murjhai hai
wo raat suhani bit chuki aa pahunchi subh-e-judai hai
ab mujh ko yahan se jaana hai pur-shauq nigaho mat roko
o mere gale mein laTki hui lachkili baho mat roko
in uljhi uljhi zulfon mein dil apna bisare jata hun
in miThi miThi nazron ki yaadon ke sahaare jata hun
jata hun ijazat wo dekho ghurfe se shuaen jhalki hain
pighle hue sone ki lahren mina-e-shafaq se chhalki hain
kheton mein kisi charwahe ne bansi ki tan uDai hai
ek ek rasili sur jis ki paigham safar ka lai hai
majbur hun main jaana jo hua dil mane na mane jata hun
duniya ki andheri ghaTi mein ab Thokaren khane jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.