subh-e-kazib
ye jo ik nuur kī halkī sī kiran phūTī hai
kaun kahtā hai ise sub.h-e-daraḳhshāñ ai dost
mujh ko ehsās hai baaqī hai shab-e-tār bhī
lekin ai dost mujhe raqs to kar lene de
kam se kam nuur ne ulTā to hai ik baar naqāb
ek lamhe ko to TuuTā hai tilism-e-shab-e-tār
is se sābit to huā sub.h bhī ho saktī hai
parda-e-zulmat-e-shab chaak bhī ho saktā hai
sub.h-e-kāzib bhī to hai asl meñ dībācha-e-sub.h
sub.h-e-kāzib bhī to hai sub.h-e-daraḳhshāñ kī naved
ek elaan ki hañgām-e-vidā-e-shab hai
qāfila nūr-e-sahar kā hai bahut hī nazdīk
jald hone ko hai ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ kī numūd
ye jo ek nur ki halki si kiran phuTi hai
kaun kahta hai ise subh-e-daraKHshan ai dost
mujh ko ehsas hai baqi hai shab-e-tar bhi
lekin ai dost mujhe raqs to kar lene de
kam se kam nur ne ulTa to hai ek bar naqab
ek lamhe ko to TuTa hai tilism-e-shab-e-tar
is se sabit to hua subh bhi ho sakti hai
parda-e-zulmat-e-shab chaak bhi ho sakta hai
subh-e-kazib bhi to hai asl mein dibacha-e-subh
subh-e-kazib bhi to hai subh-e-daraKHshan ki nawed
ek elan ki hangam-e-wida-e-shab hai
qafila nur-e-sahar ka hai bahut hi nazdik
jald hone ko hai KHurshid-e-daraKHshan ki numud
- Book : Azadi Ke Bad Urdu Nazam (Pg. 65)
- Author : Shamim Hanfi and Mazhar Mahdi
- Publication : qaumi council baraye-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.