subh-e-shab-e-intizar
yahī vo manzil-e-maqsūd hai ki jis ke liye
baḌe hī azm se apne safar pe nikle the
isī ghaḌī kī tamanna meñ jaane kitne log
jo be-ḳhatā the magar sūliyoñ pe laTke the
ye sochte the ki vo din kabhī to aa.egā
tamām hasrateñ dil kī nikal hī jā.eñgī
hamāre paañv kī ye beḌiyāñ ye zanjīreñ
kabhī to mom kī sūrat pighal hī jā.eñgī
kuchh is tarah se baḌhā dil meñ zauq-e-āzādī
ki rafta rafta tamanna javān hotī ga.ī
kuchh is tarah se uThī har taraf se vo āñdhī
jo uThte uThte ḳhud ik āsmān hotī ga.ī
nigāh ko thī magar mīr-e-kārvāñ kī talāsh
nazar jo uTThī to dekhā ki ek mard-e-faqīr
khaḌā hai hausla-e-amn-o-āshatī le kar
na koī ḳhod badan par na haath meñ shamshīr
charāġh raah meñ us ke amal se jalne lage
lo aaj sub.h-e-shab-e-intizār aa hī ga.ī
fazā mahakne lagī dil-navāz phūloñ se
dayār-e-hind meñ fasl-e-bahār aa hī ga.ī
yahi wo manzil-e-maqsud hai ki jis ke liye
baDe hi azm se apne safar pe nikle the
isi ghaDi ki tamanna mein jaane kitne log
jo be-KHata the magar suliyon pe laTke the
ye sochte the ki wo din kabhi to aaega
tamam hasraten dil ki nikal hi jaengi
hamare panw ki ye beDiyan ye zanjiren
kabhi to mom ki surat pighal hi jaengi
kuchh is tarah se baDha dil mein zauq-e-azadi
ki rafta rafta tamanna jawan hoti gai
kuchh is tarah se uThi har taraf se wo aandhi
jo uThte uThte KHud ek aasman hoti gai
nigah ko thi magar mir-e-karwan ki talash
nazar jo uTThi to dekha ki ek mard-e-faqir
khaDa hai hausla-e-amn-o-ashati le kar
na koi KHod badan par na hath mein shamshir
charagh rah mein us ke amal se jalne lage
lo aaj subh-e-shab-e-intizar aa hi gai
faza mahakne lagi dil-nawaz phulon se
dayar-e-hind mein fasl-e-bahaar aa hi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.