subh-e-watan
vo jalva sahar kā vo chiḌiyoñ kā gaanā
vo ThanDī havā.eñ vo manzar suhānā
vo phūloñ kā khilnā vo bū bhīnī-bhīnī
masarrat se kaliyoñ kā vo muskurānā
ufuq par vo surḳhī vo rangīn bādal
vo pūrab meñ sūraj kā jalva dikhānā
daraḳhtoñ kā vo jhūmnā mast ho kar
vo pattoñ kā ḳhush ho ke taalī bajānā
ḳhudā ke vo bandoñ kā bedār honā
vo muñh haath dhonā vo un kā nahānā
vo phir kaam meñ apne masrūf rah kar
mashaqqat se mehnat se rozī kamānā
vo bailoñ ke ghuñgrū vo Tan Tan suhānī
kisānoñ kā uTh kar vo khetoñ meñ jaanā
vo sarsabz khetoñ ke dilkash nazāre
vo shādāb khetī kā manzar suhānā
vo ek ek bastī ke ghar ghar meñ raunaq
vo jhāḌū buhārū vo khānā pakānā
vo āzād rahne kī dil se duā.eñ
vatan kī mohabbat ke vo giit gaanā
nirālī haiñ yuuñ to fazā.eñ vatan kī
magar is kā vaqt-e-sahar hai yagāna
chalo ham bhī 'nayyar' kā ik giit gaa.eñ
vahī ya.anī apne vatan kā tarāna
wo jalwa sahar ka wo chiDiyon ka gana
wo ThanDi hawaen wo manzar suhana
wo phulon ka khilna wo bu bhini-bhini
masarrat se kaliyon ka wo muskurana
ufuq par wo surKHi wo rangin baadal
wo purab mein suraj ka jalwa dikhana
daraKHton ka wo jhumna mast ho kar
wo patton ka KHush ho ke tali bajaana
KHuda ke wo bandon ka bedar hona
wo munh hath dhona wo un ka nahana
wo phir kaam mein apne masruf rah kar
mashaqqat se mehnat se rozi kamana
wo bailon ke ghungru wo Tan Tan suhani
kisanon ka uTh kar wo kheton mein jaana
wo sarsabz kheton ke dilkash nazare
wo shadab kheti ka manzar suhana
wo ek ek basti ke ghar ghar mein raunaq
wo jhaDu buhaaru wo khana pakana
wo aazad rahne ki dil se duaen
watan ki mohabbat ke wo git gana
nirali hain yun to fazaen watan ki
magar is ka waqt-e-sahar hai yagana
chalo hum bhi 'nayyar' ka ek git gaen
wahi yani apne watan ka tarana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.