subh hote hi
sub.h hote hī aaTh karoḌ masḳhare nikal aate haiñ saḌkoñ par
aur shurūa kar dete haiñ naach
aaTh karoḌ masḳhare nikal aate haiñ apne rañge chehroñ aur lambī Topiyoñ ke saath
toḌ-phoḌ Dālte haiñ āsmān
dhajjī dhajjī kar dete haiñ dhuup
uljhā lete haiñ havā kī Dor apne hāthoñ meñ
rāsta nahīñ dete mayyat-gāḌiyoñ ko aur aag bujhāne vaale engine ko
bhar dete haiñ sayyāre ko behūda fiqroñ se
aur shaam aatī hai
lauT jaate haiñ sūraj ke saath chorus gaate hue
aur raat hotī hai
aur sub.h hotī hai
sub.h hote hī aaTh karoḌ masḳhare nikal aate haiñ saḌkoñ par
aur shurūa kar dete haiñ naach...
subh hote hi aaTh karoD masKHare nikal aate hain saDkon par
aur shurua kar dete hain nach
aaTh karoD masKHare nikal aate hain apne range chehron aur lambi Topiyon ke sath
toD-phoD Dalte hain aasman
dhajji dhajji kar dete hain dhup
uljha lete hain hawa ki Dor apne hathon mein
rasta nahin dete mayyat-gaDiyon ko aur aag bujhane wale engine ko
bhar dete hain sayyare ko behuda fiqron se
aur sham aati hai
lauT jate hain suraj ke sath chorus gate hue
aur raat hoti hai
aur subh hoti hai
subh hote hi aaTh karoD masKHare nikal aate hain saDkon par
aur shurua kar dete hain nach
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 114)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.