subh ka saman
subh ka saman
Chaudhary Kalka Prashad Ijad Biswani
MORE BYChaudhary Kalka Prashad Ijad Biswani
ik latāfat ik tarannum ik asar hai dekhiye
rūh-parvar jāñ-fazā lutf-e-sahar hai dekhiye
qatra-e-shabnam har ik ashk-e-guhar hai dekhiye
kaif-āgīñ hai jo manzar jalva-gar hai dekhiye
nisf aalam meñ tarab-zā daur ik maujūd hai
be-ḳhudī chāroñ taraf chhā.ī hai rangīñ hai chaman
jhūmte haiñ lahlahāte haiñ gul-o-sarv-o-saman
āsmāñ par surḳhī-e-gulgūñ kī hai aisī phaban
dekh kar be-sāḳhta hotā hai dil behad magan
har taraf ik jalva-e-shādāb-e-hast-o-būd hai
ab parinde bhī lage par tolne vaqt-e-sahar
jānib-e-sahrā huā chaupāyoñ kā āḳhir guzar
aur vo dahqāñ sadā piite jo haiñ ḳhūn-e-jigar
kaam meñ mashġhūl apne ho ga.e haiñ sar-basar
shaad hai dil un kā aur behad tarab-ālūd hai
rind-e-bāda-nosh haiñ aur vā dar-e-mai-ḳhāna hai
koī hai hushiyār in meñ to koī dīvāna hai
dāna-e-angūr hai tasbīh kā jo daana hai
aur subūhī se bharā yuuñ mehr kā paimāna hai
pārsā.ī shaiḳh kī is vaqt sab mafqūd hai
vo masājid kī azaañ dil sab ke taḌpāne lagī
but-kade meñ phir mohabbat dil ko garmāne lagī
husn kī dil meñ aqīdat josh sikhlāne lagī
raam aur rahmān kī dilkash sadā aane lagī
ye sadā 'ījād' goyā naġhma-e-dā.ūd hai
ek latafat ek tarannum ek asar hai dekhiye
ruh-parwar jaan-faza lutf-e-sahar hai dekhiye
qatra-e-shabnam har ek ashk-e-guhar hai dekhiye
kaif-agin hai jo manzar jalwa-gar hai dekhiye
nisf aalam mein tarab-za daur ek maujud hai
be-KHudi chaaron taraf chhai hai rangin hai chaman
jhumte hain lahlahate hain gul-o-sarw-o-saman
aasman par surKHi-e-gulgun ki hai aisi phaban
dekh kar be-saKHta hota hai dil behad magan
har taraf ek jalwa-e-shadab-e-hast-o-bud hai
ab parinde bhi lage par tolne waqt-e-sahar
jaanib-e-sahra hua chaupayon ka aaKHir guzar
aur wo dahqan sada pite jo hain KHun-e-jigar
kaam mein mashghul apne ho gae hain sar-basar
shad hai dil un ka aur behad tarab-alud hai
rind-e-baada-nosh hain aur wa dar-e-mai-KHana hai
koi hai hushiyar in mein to koi diwana hai
dana-e-angur hai tasbih ka jo dana hai
aur subuhi se bhara yun mehr ka paimana hai
parsai shaiKH ki is waqt sab mafqud hai
wo masajid ki azan dil sab ke taDpane lagi
but-kade mein phir mohabbat dil ko garmane lagi
husn ki dil mein aqidat josh sikhlane lagi
ram aur rahman ki dilkash sada aane lagi
ye sada 'ijad' goya naghma-e-daud hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.