subh ka tarana
ḳhabar din ke aane kī maiñ lā rahī huuñ
ujālā zamāne meñ phailā rahī huuñ
bahār apnī mashriq se dikhlā rahī huuñ
pukāre gale saaf chillā rahī huuñ
uTho sone vaalo ki maiñ aa rahī huuñ
azaañ par azaañ murġh dene lagā hai
ḳhushī se har ik jānvar boltā hai
daraḳhtoñ ke uupar ajab chahchahā hai
suhānā hai vaqt aur ThanDī havā hai
uTho sone vaalo ki maiñ aa rahī huuñ
ye chiḌiyāñ jo peḌoñ pe haiñ gul machātīñ
idhar se udhar uḌ ke haiñ aatī jātīñ
dumoñ ko hilātīñ paroñ ko phulātīñ
mirī aamad aamad ke haiñ giit gātīñ
uTho sone vaalo ki maiñ aa rahī huuñ
huī mujh se raunaq pahāḌ aur ban meñ
har ik mulk meñ des meñ aur vatan meñ
khilātī huī phuul aa.ī chaman meñ
bujhātī chalī sham.a ko anjuman meñ
uTho sone vaalo ki maiñ aa rahī huuñ
lo hushyār ho jaao aur āñkheñ kholo
na lo karvaTeñ aur na bistar TaTolo
ḳhudā ko karo yaad aur muñh se bolo
bas ab ḳhair se uTh ke muñh haath dho lo
uTho sone vaalo ki maiñ aa rahī huuñ
KHabar din ke aane ki main la rahi hun
ujala zamane mein phaila rahi hun
bahaar apni mashriq se dikhla rahi hun
pukare gale saf chilla rahi hun
uTho sone walo ki main aa rahi hun
azan par azan murgh dene laga hai
KHushi se har ek jaanwar bolta hai
daraKHton ke upar ajab chahchaha hai
suhana hai waqt aur ThanDi hawa hai
uTho sone walo ki main aa rahi hun
ye chiDiyan jo peDon pe hain gul machatin
idhar se udhar uD ke hain aati jatin
dumon ko hilatin paron ko phulatin
meri aamad aamad ke hain git gatin
uTho sone walo ki main aa rahi hun
hui mujh se raunaq pahaD aur ban mein
har ek mulk mein des mein aur watan mein
khilati hui phul aai chaman mein
bujhati chali shama ko anjuman mein
uTho sone walo ki main aa rahi hun
lo hushyar ho jao aur aankhen kholo
na lo karwaTen aur na bistar TaTolo
KHuda ko karo yaad aur munh se bolo
bas ab KHair se uTh ke munh hath dho lo
uTho sone walo ki main aa rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.