subh ki aamad ke sath
qarīb-e-sub.h sadā-e-shikast-e-jāñ ubhrī
laboñ kā zahr achānak pighal gayā āḳhir
sukūt-e-jism lahū piite piite chauñk uThā
ye kaun shab kī tamāzat se jal gayā āḳhir
karāhtā sā uThā koī TūTtā paikar
siyāhiyoñ meñ sulagtā huā dhuāñ jaise
jhaTak ke daur huī bistaraoñ se uktāhaT
lipaT gayā ho koī saañp nā-gahāñ jaise
azāb-e-rūh makānoñ kā dard chāTegā
baḌheñge shahr-e-tamannā kī samt sab saa.e
kashā-kashoñ ke samundar meñ Dubkiyāñ lete
har ek zaat kī maujūdiyat se uktā.e
gharoñ meñ qaid dar-o-bām kī har ik uljhan
galī galī ke laboñ se lipaT rahī hogī
tabī.atoñ ko sambhāle hue dhueñ kī lakīr
varaq kitāb-e-nafas ke ulaT rahī hogī
rahegā yuuñ hī saroñ par itaab kā sūraj
isī tarah se basar hote jā.eñge din-rāt
kaleja muñh meñ rakhe aur siine par patthar
guzār deñge guzarte hue sabhī sadmāt
qarib-e-subh sada-e-shikast-e-jaan ubhri
labon ka zahr achanak pighal gaya aaKHir
sukut-e-jism lahu pite pite chaunk uTha
ye kaun shab ki tamazat se jal gaya aaKHir
karahta sa uTha koi TuTta paikar
siyahiyon mein sulagta hua dhuan jaise
jhaTak ke daur hui bistaraon se uktahaT
lipaT gaya ho koi sanp na-gahan jaise
azab-e-ruh makanon ka dard chaTega
baDhenge shahr-e-tamanna ki samt sab sae
kasha-kashon ke samundar mein Dubkiyan lete
har ek zat ki maujudiyat se uktae
gharon mein qaid dar-o-baam ki har ek uljhan
gali gali ke labon se lipaT rahi hogi
tabiaton ko sambhaale hue dhuen ki lakir
waraq kitab-e-nafas ke ulaT rahi hogi
rahega yun hi saron par itab ka suraj
isi tarah se basar hote jaenge din-raat
kaleja munh mein rakhe aur sine par patthar
guzar denge guzarte hue sabhi sadmat
- Book : Shoalon Ka Shajar (Pg. 27)
- Author : Chander Bhan Khayal
- Publication : Sutoor Parkashan (1969)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.