subh-o-sham ki shikast
tum
apne ghar kī taḳhtī se
ab merā naam bhī miTā denā
go e'tibār-e-harf nahīñ
thaam kar asā-e-qalam
zindagī kā nauha likh denā
ki
madrasoñ ke āñgan kī
ek khulī kitāb tum thiiñ
bā-shu.ūr ke liye shuā-e-nau
tabassumoñ kā ruup liye
ye chāhat umr bhar kī kamā.ī thī
āzād maiñ bhī thā badan kī tahoñ tak
tumheñ bhī dhuup kī chubhan jo
dabī ḳhvāhishoñ ko señktī thī
magar tum ne
apne rāstoñ se be-ḳhabar
barsoñ kī riyāzateñ dafn karke
rifāqateñ ḳhatm kar diiñ
azmateñ nīlām
nasleñ be-nām kar diiñ
barahna ḳhvāhishoñ kī suulī pe laTaktā paikar
ġham kī daldal ko baḌhātā hai
be-shumār dariyā kā zā.iqa bhī
halaq tar nahīñ kartā
lahū ke sāhil par
ek ek lamha be-amāñ guzartā hai
yaqīn jaano
dayār-e-fikr meñ koī ham-zabāñ nahīñ
phir bhī maiñ
apne junūñ meñ sābit-qadam huuñ
jāgtī āñkhoñ ko
us ke ghar lauT aane kā intizār rahtā hai
sunā hai
gajar-dam siskiyāñ le kar
añdherā TuuT TuuT jaatā hai
tum
apne ghar ki taKHti se
ab mera nam bhi miTa dena
go e'tibar-e-harf nahin
tham kar asa-e-qalam
zindagi ka nauha likh dena
ki
madrason ke aangan ki
ek khuli kitab tum thin
ba-shuur ke liye shua-e-nau
tabassumon ka rup liye
ye chahat umr bhar ki kamai thi
aazad main bhi tha badan ki tahon tak
tumhein bhi dhup ki chubhan jo
dabi KHwahishon ko senkti thi
magar tum ne
apne raston se be-KHabar
barson ki riyazaten dafn karke
rifaqaten KHatm kar din
azmaten nilam
naslen be-nam kar din
barahna KHwahishon ki suli pe laTakta paikar
gham ki daldal ko baDhata hai
be-shumar dariya ka zaiqa bhi
halaq tar nahin karta
lahu ke sahil par
ek ek lamha be-aman guzarta hai
yaqin jaano
dayar-e-fikr mein koi ham-zaban nahin
phir bhi main
apne junun mein sabit-qadam hun
jagti aankhon ko
us ke ghar lauT aane ka intizar rahta hai
suna hai
gajar-dam siskiyan le kar
andhera TuT TuT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.