Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh

MORE BYSohaib Mugheera Siddiqi

    sub.h hone lagī hai

    magar apne bistar meñ vo be-ḳhabar ab bhī be-sudh paḌī hai

    use kyā ḳhabar hai

    ki do laakh sāloñ se chaltī huī

    andromeda ke kuchh sūrajoñ shuā.eñ

    zamīñ par pahuñch kar hamārī shuāoñ meñ shāmil huī haiñ

    to is sub.h chehra raushan huā hai

    ye do laakh sāloñ lambā safar

    jis meñ ham sapiens

    jangaloñ ke añdheroñ meñ baḌhte hue

    apne cousinoñ qismat ke rab ban ga.e

    un se itnā laḌe

    un nāpaidgī sabab ban ga.e

    itne sāloñ meñ ham

    ġhaar se jhoñpḌī jhoñpḌī se qabīloñ sūrat baTe

    aur qabīloñ se shahroñ meñ Dhalne lage haiñ

    ye do laakh sāloñ se niklī huī raushnī apne sūraj meñ aa kar milī hai

    to duniyā ain us jagah par jahāñ is ghar hai

    vahāñ

    sub.h banñe lagī hai

    zamīñ par kisī din pahlī ghaḌī hai

    zamīñ ghuum kar apne baabā jānib muḌī hai

    magar apne bistar meñ vo be-ḳhabar ab bhī be-sudh paḌī hai

    subh hone lagi hai

    magar apne bistar mein wo be-KHabar ab bhi be-sudh paDi hai

    use kya KHabar hai

    ki do lakh salon se chalti hui

    andromeda ke kuchh surajon ki shuaen

    zamin par pahunch kar hamari shuaon mein shamil hui hain

    to is subh ka chehra raushan hua hai

    ye do lakh salon ka lamba safar

    jis mein hum sapiens

    jangalon ke andheron mein baDhte hue

    apne cousinon ki qismat ke rab ban gae

    un se itna laDe

    un ki napaidgi ka sabab ban gae

    itne salon mein hum

    ghaar se jhonpDi jhonpDi se qabilon ki surat baTe

    aur qabilon se shahron mein Dhalne lage hain

    ye do lakh salon se nikli hui raushni apne suraj mein aa kar mili hai

    to duniya ki ain us jagah par jahan is ka ghar hai

    wahan

    subh banne lagi hai

    zamin par kisi din ki pahli ghaDi hai

    zamin ghum kar apne baba ki jaanib muDi hai

    magar apne bistar mein wo be-KHabar ab bhi be-sudh paDi hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now