Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh

MORE BYHafeez Jalandhari

    sub.h huā jab nuur taḌkā

    so kar uTThā achchhā laḌkā

    ġhusl kiyā phir nāshta khāyā

    basta apnī baġhal dabāyā

    phir maktab rasta pakḌā

    raah meñ us ko milā ik murġhā

    murġhā bolā aao kheleñ

    shor machā.eñ aur DañD peleñ

    laḌkā bolā o bhaa.ī murġhe

    khelne ye vaqt nahīñ hai

    maiñ ab paḌhne jaatā huuñ

    murġhā bolā kukḌūñ kuuñ

    ḳhair se phir aage ko baḌhā vo

    jaldī jaldī chalne lagā vo

    peḌ pe chiḌiyāñ bol rahī thiiñ

    uḌne ko par tol rahī thiiñ

    laḌkā un ke paas se guzrā

    guzrā to bolī ik chiḌiyā

    aahā bhayyā aao kheleñ

    aaj zarā schōl na jaao

    laḌkā bolā pyārī chiḌiyā

    khel se hai paḌhnā achchhā

    maiñ ab paḌhne jaatā huuñ

    chiḌiyā bolī chuuñ chuuñ chuuñ

    subh hua jab nur ka taDka

    so kar uTTha achchha laDka

    ghusl kiya phir nashta khaya

    basta apni baghal dabaya

    phir maktab ka rasta pakDa

    rah mein us ko mila ek murgha

    murgha bola aao khelen

    shor machaen aur DanD pelen

    laDka bola o bhai murghe

    khelne ka ye waqt nahin hai

    main ab paDhne jata hun

    murgha bola kukDun kun

    KHair se phir aage ko baDha wo

    jaldi jaldi chalne laga wo

    peD pe chiDiyan bol rahi thin

    uDne ko par tol rahi thin

    laDka un ke pas se guzra

    guzra to boli ek chiDiya

    aaha bhayya aao khelen

    aaj zara school na jao

    laDka bola pyari chiDiya

    khel se hai paDhna achchha

    main ab paDhne jata hun

    chiDiya boli chun chun chun

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now