subh
sunā hai raat ke parde meñ sub.h sotī hai
saverā uTh ke dabe paaoñ aa.egā ham tak
hamāre paaoñ pe rakkhegā bhīge bhīge phuul
kahegā uTTho ki ab tīrgī kā daur gayā
bahut se kaam adhūre paḌe haiñ karne haiñ
unheñ sameT ke rāheñ na.ī talāsh karo
nahīñ yaqīn karo
yuuñ kabhī nahīñ hotā
saverā uTh ke dabe paaoñ
ḳhud na aa.egā
na ho jo sham.a
to hargiz sahar nahīñ hotī
agar shuāoñ ke bhāle na hoñ
hamārā nasīb
to nahreñ duudh kī ḳhvāboñ meñ bahtī rahtī haiñ
zamīn ghuum ke sūraj ko chūmtī hai zarūr
shuā.eñ phaTtī haiñ
lekin sahar nahīñ hotī
suna hai raat ke parde mein subh soti hai
sawera uTh ke dabe paon aaega hum tak
hamare paon pe rakkhega bhige bhige phul
kahega uTTho ki ab tirgi ka daur gaya
bahut se kaam adhure paDe hain karne hain
unhen sameT ke rahen nai talash karo
nahin yaqin karo
yun kabhi nahin hota
sawera uTh ke dabe paon
KHud na aaega
na ho jo shama
to hargiz sahar nahin hoti
agar shuaon ke bhaale na hon
hamara nasib
to nahren dudh ki KHwabon mein bahti rahti hain
zamin ghum ke suraj ko chumti hai zarur
shuaen phaTti hain
lekin sahar nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.