subhash-chandr-bos bahadur-shah-zafar ke mazar par
assalām ai azmat-e-hindostāñ kī yādgār
ai shahanshāh-e-dayār-e-dil faqīr-e-be-dayār
aaj pahlī baar terī qabr par aayā huuñ maiñ
be-navā huuñ nazr ko be-laus dil laayā huuñ maiñ
gardish-e-taqdīr ke hāthoñ vatan se duur huuñ
ek bulbul huuñ magar sehn-e-chaman se duur huuñ
shauq āzādī kā mujh ko khīñch laayā hai yahāñ
aaj dushman hai zamīñ merī adū hai āsmāñ
maiñ bhī huuñ apne vatan se duur tū bhī duur hai
haañ razā-e-pāk-e-yazdāñ ko yahī manzūr hai
merā dāman bhī yahāñ kī ḳhaak se ālūda hai
farq sirf itnā hai maiñ āvāra tū āsūda hai
ai shah-e-ḳhvābīda ai taqdīr-e-bedār-e-vatan
aa.ina merī nigāhoñ par hai o bār-e-vatan
mere dil ko yaad hai ab tak vo sattāvan kī jang
jis ke baa'd is sarzamīñ pe chhā ga.e ahal-e-farañg
merī nazroñ meñ hai meraTh aur dehlī kā zavāl
jāntā huuñ maiñ jo thā jhāñsī kī raanī kā ma.aal
maiñ nahīñ bhūlā abhī anjām-e-nānā-farnavīs
hai nazar meñ koshish-e-nākām-e-nānā-farnavīs
dāstāñ jaise bhī ho guzrī vo sab mālūm hai
tere dil-bandoñ pe jo guzrī vo sab mālūm hai
ye vatan rauñdā hai jis ko muddatoñ aġhyār ne
jis pe Dhaa.e zulm lākhoñ charḳh-e-nā-hanjār ne
jis ko rakkhā muddatoñ qismat ne zillat-āshnā
jis ne har pahlū meñ dekhī pastiyoñ kī intihā
aaj phir us mulk meñ ik zindagī kī lahr hai
ḳhaak se aflāk tak tābindagī kī lahr hai
aaj phir is mulk ke lākhoñ javāñ bedār haiñ
hurriyat kī raah meñ miTne ko jo tayyār haiñ
aaj phir hai be-niyām is mulk kī shamshīr dekh
sone vaale jaag apne ḳhvāb kī ta.abīr dekh
is tarah larze meñ hai buniyād-e-aivān-e-farañg
khā chuke haiñ maat goyā shīsha-bāzān-e-farañg
hubb-e-qaumī ke tarānoñ se havā labrez hai
aur topoñ kī danā-dan se fazā labrez hai
shor gīr-o-dār kā hai phir fazāoñ meñ buland
aaj phir himmat ne pheñkī hai sitāroñ par kamand
phir umangeñ ārzūeñ haiñ diloñ meñ be-qarār
qaum ko yaad aa gayā hai apnā gum-gashta vaqār
naujavānoñ ke diloñ meñ sarfaroshī kī umang
ishq baazī le gayā hai aql bechārī hai dañg
aaj phir is des meñ jhankār talvāroñ kī hai
kuchh nirālī kaifiyat phir des ke pyāroñ kī hai
jo tavānā.ī irādoñ meñ hai kohsāroñ kī hai
zarre zarre meñ nihāñ tābindagī tāroñ kī hai
ye nazāra aah lafzoñ meñ samā saktā nahīñ
aañkh jo kuchh dekhtī hai lab pe aa saktā nahīñ
fat.h-e-nusrat kī duāoñ se huā ma.amūr hai
nārā-e-jai-hind se saarī fazā ma.amūr hai
mujh ko ai shāh-e-vatan apne irādoñ kī qasam
jin ke sar kaaTe ga.e in shāh-zādoñ kī qasam
tere marqad kī muqaddas ḳhaak kī mujh ko qasam
maiñ jahāñ huuñ us fazā-e-pāk kī mujh ko qasam
apne bhūke jāñ-ba-lab bangāl kī mujh ko qasam
hākimoñ ke dast-parvar kaal kī mujh ko qasam
lāl-qile ke zavāl o shahr-e-dehlī kī qasam
mohsin-e-dehlī ma.āl-e-shahr-e-dehlī kī qasam
maiñ tirī khoī huī azmat ko vāpas lā.ūñgā
aur tire marqad pe nusrat-yāb ho kar ā.ūñgā
teġh-e-hindī jis kā lohā māntā hai ik jahāñ
jis kī tezī kī gavāhī de rahā hai āsmāñ
teġh-e-hindī jis ko maiñ ne kar diyā hai be-niyām
jis kā sheva hurriyat-keshī jahāñgīrī hai kaam
jis ne puurī munsifī kī aaj tak duniyā ke saath
zulm kī dushman hai jo ik zulm-e-be-parda ke saath
har qadam par jis ne bātil ko milāyā ḳhaak meñ
jis ke sākhoñ kī abhī tak guuñj hai aflāk meñ
aaj phir apnī nazar jis kī chamak se ḳhīra hai
jis kī tābānī se raushan ik jahān-e-tīrā hai
ik jazīre ke hasīñ sāhil se jab Takrā.egī
chain se mujh ko bhaḌaktī aag meñ niiñd aa.egī
assalam ai azmat-e-hindostan ki yaadgar
ai shahanshah-e-dayar-e-dil faqir-e-be-dayar
aaj pahli bar teri qabr par aaya hun main
be-nawa hun nazr ko be-laus dil laya hun main
gardish-e-taqdir ke hathon watan se dur hun
ek bulbul hun magar sehn-e-chaman se dur hun
shauq aazadi ka mujh ko khinch laya hai yahan
aaj dushman hai zamin meri adu hai aasman
main bhi hun apne watan se dur tu bhi dur hai
han raza-e-pak-e-yazdan ko yahi manzur hai
mera daman bhi yahan ki KHak se aaluda hai
farq sirf itna hai main aawara tu aasuda hai
ai shah-e-KHwabida ai taqdir-e-bedar-e-watan
aaina meri nigahon par hai o bar-e-watan
mere dil ko yaad hai ab tak wo sattawan ki jang
jis ke ba'd is sarzamin pe chha gae ahal-e-farang
meri nazron mein hai meraTh aur dehli ka zawal
jaanta hun main jo tha jhansi ki rani ka maal
main nahin bhula abhi anjam-e-nana-farnawis
hai nazar mein koshish-e-nakaam-e-nana-farnawis
dastan jaise bhi ho guzri wo sab malum hai
tere dil-bandon pe jo guzri wo sab malum hai
ye watan raunda hai jis ko muddaton aghyar ne
jis pe Dhae zulm lakhon charKH-e-na-hanjar ne
jis ko rakkha muddaton qismat ne zillat-ashna
jis ne har pahlu mein dekhi pastiyon ki intiha
aaj phir us mulk mein ek zindagi ki lahr hai
KHak se aflak tak tabindagi ki lahr hai
aaj phir is mulk ke lakhon jawan bedar hain
hurriyat ki rah mein miTne ko jo tayyar hain
aaj phir hai be-niyam is mulk ki shamshir dekh
sone wale jag apne KHwab ki tabir dekh
is tarah larze mein hai buniyaad-e-aiwan-e-farang
kha chuke hain mat goya shisha-bazan-e-farang
hubb-e-qaumi ke taranon se hawa labrez hai
aur topon ki dana-dan se faza labrez hai
shor gir-o-dar ka hai phir fazaon mein buland
aaj phir himmat ne phenki hai sitaron par kamand
phir umangen aarzuen hain dilon mein be-qarar
qaum ko yaad aa gaya hai apna gum-gashta waqar
naujawanon ke dilon mein sarfaroshi ki umang
ishq bazi le gaya hai aql bechaari hai dang
aaj phir is des mein jhankar talwaron ki hai
kuchh nirali kaifiyat phir des ke pyaron ki hai
jo tawanai iradon mein hai kohsaron ki hai
zarre zarre mein nihan tabindagi taron ki hai
ye nazara aah lafzon mein sama sakta nahin
aankh jo kuchh dekhti hai lab pe aa sakta nahin
fath-e-nusrat ki duaon se hua mamur hai
nara-e-jai-hind se sari faza mamur hai
mujh ko ai shah-e-watan apne iradon ki qasam
jin ke sar kaTe gae in shah-zadon ki qasam
tere marqad ki muqaddas KHak ki mujh ko qasam
main jahan hun us faza-e-pak ki mujh ko qasam
apne bhuke jaan-ba-lab bangal ki mujh ko qasam
hakimon ke dast-parwar kal ki mujh ko qasam
lal-qile ke zawal o shahr-e-dehli ki qasam
mohsin-e-dehli maal-e-shahr-e-dehli ki qasam
main teri khoi hui azmat ko wapas launga
aur tere marqad pe nusrat-yab ho kar aaunga
tegh-e-hindi jis ka loha manta hai ek jahan
jis ki tezi ki gawahi de raha hai aasman
tegh-e-hindi jis ko main ne kar diya hai be-niyam
jis ka shewa hurriyat-keshi jahangiri hai kaam
jis ne puri munsifi ki aaj tak duniya ke sath
zulm ki dushman hai jo ek zulm-e-be-parda ke sath
har qadam par jis ne baatil ko milaya KHak mein
jis ke sakhon ki abhi tak gunj hai aflak mein
aaj phir apni nazar jis ki chamak se KHira hai
jis ki tabani se raushan ek jahan-e-tira hai
ek jazire ke hasin sahil se jab Takraegi
chain se mujh ko bhaDakti aag mein nind aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.