subhon jaise log
sub.hoñ jaise log bahut achchhe lagte haiñ nā
lagtā hai ki bahut alag haiñ baaqī logoñ se
lekin ummīdoñ ke baa.is vo log bhī aksar ek arse ba.ad kisī aam din kī tarah Dhal ke
nā-ummīdī kī lambī raat ban jaate haiñ
in se behtar to vo log hote haiñ jo ḳhāmosh shāmoñ kī tarah
ummīdeñ nahīñ magar sukūn zarūr dete haiñ
tum aa.e to the ek ḳhāmosh shaam kī tarah
lekin us raat ke ba.ad maiñ ne tum meñ ek sub.h dekhnī shurūa kar dī thī jaane kyuuñ
shāyad aaj bhī tum ek ḳhāmosh shaam hī ho
ye to maiñ huuñ jo tum meñ apnī sub.h DhūñDhne kī nākām koshish meñ hai
kyūñki sub.hoñ jaise log bahut achchhe lagte haiñ nā
subhon jaise log bahut achchhe lagte hain na
lagta hai ki bahut alag hain baqi logon se
lekin ummidon ke bais wo log bhi aksar ek arse baad kisi aam din ki tarah Dhal ke
na-ummidi ki lambi raat ban jate hain
in se behtar to wo log hote hain jo KHamosh shamon ki tarah
ummiden nahin magar sukun zarur dete hain
tum aae to the ek KHamosh sham ki tarah
lekin us raat ke baad main ne tum mein ek subh dekhni shurua kar di thi jaane kyun
shayad aaj bhi tum ek KHamosh sham hi ho
ye to main hun jo tum mein apni subh DhunDhne ki nakaam koshish mein hai
kyunki subhon jaise log bahut achchhe lagte hain na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.