suhana KHwab
jaise sarāboñ kā pīchhā karte karte laq-o-daq sahrā meñ
achānak naḳhlistān mil jaatā hai
jaise kuuḌe karkaT ke Dher meñ
ḳhūbsūrat phuul khil jaate haiñ
jaise TuñDmuñD daraḳhtoñ par
na.ī koñpleñ phuuT nikaltī haiñ
jaise chaar sū chhā.ī huī ḳhāmoshī meñ
dīvānī koyal kuuk uThtī hai
jaise māyūsiyoñ aur tanhā.iyoñ meñ
mahbūb kī bhūlī bisrī yaad aa jaatī hai
jaise kaale bādaloñ ke pīchhe se
chamaktā chāñd nikal aatā hai
jaise hijr kī lambī raat ke ba.ad
sub.h-e-visāl tulūa ho jaatī hai
vaise hī zindagī kā bojh sahte sahte
maut ek suhānā ḳhvāb ban jaatī hai
aur ḳhudā kī ne.amatoñ meñ se
ek ne.amat
jaise sarabon ka pichha karte karte laq-o-daq sahra mein
achanak naKHlistan mil jata hai
jaise kuDe karkaT ke Dher mein
KHubsurat phul khil jate hain
jaise TunDmunD daraKHton par
nai konplen phuT nikalti hain
jaise chaar su chhai hui KHamoshi mein
diwani koyal kuk uThti hai
jaise mayusiyon aur tanhaiyon mein
mahbub ki bhuli bisri yaad aa jati hai
jaise kale baadalon ke pichhe se
chamakta chand nikal aata hai
jaise hijr ki lambi raat ke baad
subh-e-visal tulua ho jati hai
waise hi zindagi ka bojh sahte sahte
maut ek suhana KHwab ban jati hai
aur KHuda ki neamaton mein se
ek neamat
- Book : din kaa phool (Pg. 193)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.