suKHanwaran-e-ahd se KHitab
ai nukta-varān-e-suḳhan-ārā-o-suḳhan-sanj
ai naġhma-girān-e-chamnistān-e-ma.afī
maanā ki dil-afroz hai afsāna-e-azrā
maanā ki dil-āvez hai salmā kī kahānī
maanā ki agar chheḌ hasīnoñ se chalī jaa.e
kaT jā.egā is mashġhale meñ ahd-e-javānī
garmā.egā ye hamhama afsurda diloñ ko
baḌh jā.egī dariyā-e-tabī.at kī ravānī
maanā ki haiñ aap apne zamāne ke 'nazīrī'
maanā ki har ik aap meñ hai urfi-e-sānī
maanā kī hadīs-e-ḳhat-o-ruḳhsār ke aage
bekār hai mashshā.īyoñ kī falsafa-dānī
maanā ki yahī zulf o ḳhat-o-ḳhāl kī rūdād
hai māya-e-gul-kārī-e-aivān-e-ma.āfī
lekin kabhī is baat ko bhī aap ne sochā
ye aap kī taqvīm hai sadiyoñ kī purānī
ma.ashūq na.e bazm na.ī rañg nayā hai
paidā na.e ḳhāme hue haiñ aur na.e 'mānī'
mizhgāñ kī sināñ ke evaz ab suntī hai mahfil
kāñToñ kī kathā barhana-pā.ī kī zabānī
lazzat vo kahāñ la.al-e-lab-e-yār meñ hai aaj
jo de rahī hai peT ke bhūkoñ kī kahānī
badlā hai zamāna to badliye ravish apnī
jo qaum hai bedār ye hai us kī nishānī
ai ham-nafaso yaad rahe ḳhuub ye tum ko
bastī na.ī mashriq meñ hamīñ ko hai basānī
ai nukta-waran-e-suKHan-ara-o-suKHan-sanj
ai naghma-giran-e-chamnistan-e-mafi
mana ki dil-afroz hai afsana-e-azra
mana ki dil-awez hai salma ki kahani
mana ki agar chheD hasinon se chali jae
kaT jaega is mashghale mein ahd-e-jawani
garmaega ye hamhama afsurda dilon ko
baDh jaegi dariya-e-tabiat ki rawani
mana ki hain aap apne zamane ke 'naziri'
mana ki har ek aap mein hai urfi-e-sani
mana ki hadis-e-KHat-o-ruKHsar ke aage
bekar hai mashshaiyon ki falsafa-dani
mana ki yahi zulf o KHat-o-KHal ki rudad
hai maya-e-gul-kari-e-aiwan-e-maafi
lekin kabhi is baat ko bhi aap ne socha
ye aap ki taqwim hai sadiyon ki purani
mashuq nae bazm nai rang naya hai
paida nae KHame hue hain aur nae 'mani'
mizhgan ki sinan ke ewaz ab sunti hai mahfil
kanTon ki katha barhana-pai ki zabani
lazzat wo kahan lal-e-lab-e-yar mein hai aaj
jo de rahi hai peT ke bhukon ki kahani
badla hai zamana to badliye rawish apni
jo qaum hai bedar ye hai us ki nishani
ai ham-nafaso yaad rahe KHub ye tum ko
basti nai mashriq mein hamin ko hai basani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.