suḳhnavaro
mere ham-asro
merī umr ke shā.iro
koī to aisī ġhazal kaho
koī to aisī nazm likho
jise sun kar tumhāre shā.ir hone kā subūt mile
tumheñ zī-fahm hone kā ḳhitāb mile
kabhī to ḳhāliq the aaj maḳhlūq haiñ ham
kabhī to hākim the aaj mahkūm haiñ ham
kabhī to qātil the aaj maslūb haiñ ham
'ġhālib'-o-'mīr' ne ishq-e-butāñ par apnī nazar rakkhī
iqbāl ne qadmoñ ke tale
qātil kī zabāñ rakkhī
taraqqī pasandoñ ne mazdūr ke hisār buland kiye
ḳhud to rahe buland-bāñg mahloñ meñ
jhoñpaḌiyoñ ke fasāne tahrīr kiye
jadīdiyat kā taqāzā hai dard-o-ġham zaat
tanhā.ī bebasī alamnākī
uktā.e hue log
na mohabbat na sukūn na dostī na dushmanī
na kahīñ qarār
har sū zindagī se farār
yahī mazāmīn-e-nau haiñ
mere ahd ke qalam-kāro
tum in pe bhī apnī nazar rakkho
likho hikāyāt-e-ḳhūñ-chakāñ
varna ḳhud ko shā.ir na kaho
apne hāthoñ se qalam rakh do
suKHnawaro
mere ham-asro
meri umr ke shairo
koi to aisi ghazal kaho
koi to aisi nazm likho
jise sun kar tumhaare shair hone ka subut mile
tumhein zi-fahm hone ka KHitab mile
kabhi to KHaliq the aaj maKHluq hain hum
kabhi to hakim the aaj mahkum hain hum
kabhi to qatil the aaj maslub hain hum
'ghaalib'-o-'mir' ne ishq-e-butan par apni nazar rakkhi
iqbaal ne qadmon ke tale
qatil ki zaban rakkhi
taraqqi pasandon ne mazdur ke hisar buland kiye
KHud to rahe buland-bang mahlon mein
jhonpaDiyon ke fasane tahrir kiye
jadidiyat ka taqaza hai dard-o-gham zat
tanhai bebasi alamnaki
uktae hue log
na mohabbat na sukun na dosti na dushmani
na kahin qarar
har su zindagi se farar
yahi mazamin-e-nau hain
mere ahd ke qalam-karo
tum in pe bhi apni nazar rakkho
likho hikayat-e-KHun-chakan
warna KHud ko shair na kaho
apne hathon se qalam rakh do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.