sukun-e-tanhai
kunj-e-tanhā.ī meñ ham aise pareshāñ bhī nahiñ
koī mahrūmī-e-yārāñ bhī nahīñ
tere jaane se akelā to huā huuñ lekin
tere jaane se mirā dard farozāñ bhī nahīñ
tū ne chhoḌā to zamāne se bhī rishta TuuTā
ishq kā ġham hai koī ab ġham-e-daurāñ bhī nahīñ
dil ko samjhātā huuñ karte ho shikāyat kis se
mehrbāñ hogā koī is kā ab imkāñ bhī nahīñ
ghar kī ḳhāmoshī fazāoñ meñ udāsī hai magar
is udāsī meñ koī vahshat-e-vīrāñ bhī nahīñ
tū jo aayā mirī duniyā meñ talātum aayā
tū nahīñ hai to mirā chaak garebāñ bhī nahīñ
kaisī takrār hai hujjat hai shikāyat kaisī
is kahānī meñ koī zūd-pashemāñ bhī nahīñ
bā.is-e-dard huī qurbat-e-yārāñ aksar
ab mujhe ārzū-e-sohbat-e-jānāñ bhī nahīñ
phir se karnā hai safar mujh ko na.ī rāhoñ par
na.ī manzil ke liye rāh-e-gulistāñ bhī nahīñ
tere hī dām-e-mohabbat meñ giraftār rahā
mahfil-e-ġhair meñ ummīd-e-mehrbāñ bhī nahīñ
tajraboñ ne ye sikhāyā hai ki hastī meñ 'amīr'
marham-e-zaḳhm nahīñ dard kā darmāñ bhī nahīñ
kunj-e-tanhai mein hum aise pareshan bhi nahin
koi mahrumi-e-yaran bhi nahin
tere jaane se akela to hua hun lekin
tere jaane se mera dard farozan bhi nahin
tu ne chhoDa to zamane se bhi rishta TuTa
ishq ka gham hai koi ab gham-e-dauran bhi nahin
dil ko samjhata hun karte ho shikayat kis se
mehrban hoga koi is ka ab imkan bhi nahin
ghar ki KHamoshi fazaon mein udasi hai magar
is udasi mein koi wahshat-e-viran bhi nahin
tu jo aaya meri duniya mein talatum aaya
tu nahin hai to mera chaak gareban bhi nahin
kaisi takrar hai hujjat hai shikayat kaisi
is kahani mein koi zud-pasheman bhi nahin
bais-e-dard hui qurbat-e-yaran aksar
ab mujhe aarzu-e-sohbat-e-jaanan bhi nahin
phir se karna hai safar mujh ko nai rahon par
nai manzil ke liye rah-e-gulistan bhi nahin
tere hi dam-e-mohabbat mein giraftar raha
mahfil-e-ghair mein ummid-e-mehrban bhi nahin
tajrabon ne ye sikhaya hai ki hasti mein 'amir'
marham-e-zaKHm nahin dard ka darman bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.