sukun
Interesting Fact
Volume:211, October-November 1997
ek tavīl umr
tum aur maiñ
apne apne gharoñ meñ band the
jahāñ zindagī ne kaḌe pahre lagā rakkhe the
usūloñ ke rishtoñ ke aur farā.ez ke
is tamām muddat meñ
jo shāyad sattarah baras thī yā sattar
ek dūsre kī saañs kī āvāz ne
hameñ tapish dī
āvāz jo bahut halkī bahut maddham thī
tapish jo duur thartharātī lau se bhī mulā.em
aur ek din
sāñsoñ kī tapish
aur thartharātī lau kī aag meñ
zindagī ke saare pahre mom kī tarah pighal ga.e
vīrān ghar meñ gulāb ke rañg
aur motiyā kī ḳhushbū kā iztirāb bikhar gayā
jis ne hamārī pur-sukūn ḳhāmoshī
ko reza reza kar diyā
aao aaj phir ham
tum aur maiñ
apne pairoñ ke ird-gird
halkī halkī lakīroñ ke dā.ere khīñche leñ
ye lakīreñ shāyad kabhī dīvār ban jaa.eñ
aur ham phir apne apne gharoñ meñ
sukūn kī niiñd so sakīñ
ek tawil umr
tum aur main
apne apne gharon mein band the
jahan zindagi ne kaDe pahre laga rakkhe the
usulon ke rishton ke aur faraez ke
is tamam muddat mein
jo shayad sattarah baras thi ya sattar
ek dusre ki sans ki aawaz ne
hamein tapish di
aawaz jo bahut halki bahut maddham thi
tapish jo dur thartharaati lau se bhi mulaem
aur ek din
sanson ki tapish
aur thartharaati lau ki aag mein
zindagi ke sare pahre mom ki tarah pighal gae
viran ghar mein gulab ke rang
aur motiya ki KHushbu ka iztirab bikhar gaya
jis ne hamari pur-sukun KHamoshi
ko reza reza kar diya
aao aaj phir hum
tum aur main
apne pairon ke ird-gird
halki halki lakiron ke daere khinche len
ye lakiren shayad kabhi diwar ban jaen
aur hum phir apne apne gharon mein
sukun ki nind so sakin
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 1971)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.