sukun
taḌap rahe haiñ jo tūfāñ mire ḳhayāloñ meñ
vo band-e-zabt-o-tahammul se aa na Takrā.eñ
ubhar rahī haiñ jo maujeñ shikast-e-armāñ kī
vo merā azm-e-musammam bahā na le jaa.eñ
dahan ḳhamosh zabāñ chup laboñ pe mohr-e-sukūt
mirī hayāt kā maqsad hai ġham pe ġham khā.eñ
ḳhalā meñ ghuur rahā huuñ nuqūsh-e-māzī ko
ye be-yaqīnī-e-fardā meñ gum na ho jaa.eñ
ḳhamoshiyoñ meñ yahāñ ek hashr barpā hai
kahāñ se DhūñD ke lamhāt-e-pur-sukūñ laa.eñ
jo apnī saarī umīdoñ kā ḳhuun ho jaa.e
qasam se dast-e-sitam ko sukūn ho jaa.e
taDap rahe hain jo tufan mere KHayalon mein
wo band-e-zabt-o-tahammul se aa na Takraen
ubhar rahi hain jo maujen shikast-e-arman ki
wo mera azm-e-musammam baha na le jaen
dahan KHamosh zaban chup labon pe mohr-e-sukut
meri hayat ka maqsad hai gham pe gham khaen
KHala mein ghur raha hun nuqush-e-mazi ko
ye be-yaqini-e-farda mein gum na ho jaen
KHamoshiyon mein yahan ek hashr barpa hai
kahan se DhunD ke lamhat-e-pur-sukun laen
jo apni sari umidon ka KHun ho jae
qasam se dast-e-sitam ko sukun ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.