sukun tar
vo ki
jis ke dam se
har ek zarre ke rag-e-jāñ meñ
harārat bharā lahū ravāñ thā
vo
jo tā-dam-e-hayāt
sarsar ko sabā
kahne se gurezāñ thā
jis ke pur-soz tarannum se
hasīn vādiyoñ meñ lafzoñ kī ḳhushbū bikhar rahī thī
vo ki
jis ke lafzoñ kī harārat se
zindāñ kī salāḳheñ pighal rahī thiiñ
shafaq kī rañgat badal rahī thī
vo
ik jiyālā mujāhid-e-haq
ye soch ham ko de gayā hai
tamām mahloñ kī raunaqoñ se
jhoñpaḌī kī siyāh rāteñ
hazār gunā sukūn tar haiñ
hazār gunā sukūn tar haiñ
wo ki
jis ke dam se
har ek zarre ke rag-e-jaan mein
hararat bhara lahu rawan tha
wo
jo ta-dam-e-hayat
sarsar ko saba
kahne se gurezan tha
jis ke pur-soz tarannum se
hasin wadiyon mein lafzon ki KHushbu bikhar rahi thi
wo ki
jis ke lafzon ki hararat se
zindan ki salaKHen pighal rahi thin
shafaq ki rangat badal rahi thi
wo
ek jiyala mujahid-e-haq
ye soch hum ko de gaya hai
tamam mahlon ki raunaqon se
jhonpaDi ki siyah raaten
hazar guna sukun tar hain
hazar guna sukun tar hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.