sukun
tumhāre shahr meñ huuñ aaj ek arse par
yahīñ huī thī mulāqāt merī ḳhud se bhī
yahīñ ye jaanā thā ḳhud se bhī ishq karnā hai
yahīñ pe sab se chaTaḳh rang ziist ke dekhe
yahīñ pata chalā ye bhī ke har kisī ke liye
diloñ kā TūTnā ġham kā sabab nahīñ hotā
ki sab ke vāste ye pyaar rab nahīñ hotā
guzar rahī huuñ maiñ jab aaj un hī rastoñ se
bagūlā sā mire dil meñ kahīñ se uThtā hai
bahut sukūñ hai magar mujh ko ek baat se ke
tumheñ ḳhabar nahīñ dī hai ki maiñ shahar meñ huuñ
tumhaare shahr mein hun aaj ek arse par
yahin hui thi mulaqat meri KHud se bhi
yahin ye jaana tha KHud se bhi ishq karna hai
yahin pe sab se chaTaKH rang zist ke dekhe
yahin pata chala ye bhi ke har kisi ke liye
dilon ka TuTna gham ka sabab nahin hota
ki sab ke waste ye pyar rab nahin hota
guzar rahi hun main jab aaj un hi raston se
bagula sa mere dil mein kahin se uThta hai
bahut sukun hai magar mujh ko ek baat se ke
tumhein KHabar nahin di hai ki main shahar mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.