sukut-e-shab mein
Interesting Fact
Ehsas-e-Karbala
vo ek raat thī aisī ki qadr-o-asrā ne
nigāh apnī jamā.ī to phir haTā.ī nahīñ
vo regzār ke siine pe nasb ik ḳhema
na jaane kaun sī tārīḳh likhne vaalā thā
sukūt-e-shab meñ bhī aahaT thī inqilāboñ kī
sajī thī bazm vahāñ āsmāñ janāboñ kī
havā-e-dasht bhī āhista-pā guzartī thī
savere ma.arka honā thā haqq-o-bātil meñ
ajiib josh thā jazba thā jāñ-nisāroñ meñ
vo jāntā thā vafādār haiñ sabhī nāsir
vo sar kaTā.eñge lekin na saath chhoḌeñge
charāg-e-ḳhema bujhāne kā ye na thā maqsad
ki us ko yāvar-o-ansār ko parakhnā thā
vo raushnī meñ unheñ laanā chāhtā thā faqat
wo ek raat thi aisi ki qadr-o-asra ne
nigah apni jamai to phir haTai nahin
wo regzar ke sine pe nasb ek KHema
na jaane kaun si tariKH likhne wala tha
sukut-e-shab mein bhi aahaT thi inqilabon ki
saji thi bazm wahan aasman janabon ki
hawa-e-dasht bhi aahista-pa guzarti thi
sawere marka hona tha haqq-o-baatil mein
ajib josh tha jazba tha jaan-nisaron mein
wo jaanta tha wafadar hain sabhi nasir
wo sar kaTaenge lekin na sath chhoDenge
charag-e-KHema bujhane ka ye na tha maqsad
ki us ko yawar-o-ansar ko parakhna tha
wo raushni mein unhen lana chahta tha faqat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.