sukut
maiñ jab bhī sochtā huuñ apne baare meñ
koī quvvat mujhe mere muḳhālif khīñchtī hai
mujhe mahsūs hotā hai
merā har uzv
markaz se baġhāvat kar chukā hai
ḳhuun ke daurān ke ham-rāh
baktar-band gaaḌī meñ
musallah faujiyoñ ke saath
koī qaid ho kar jā rahā hai
khul ga.e haiñ sab mashām-e-jāñ ke phāTak
khaḌī haiñ sar jhukā.e saf-ba-saf
haare hue alfāz kī faujeñ
koī is shahr kī tahzīb le kar jā rahā hai
main jab bhi sochta hun apne bare mein
koi quwwat mujhe mere muKHalif khinchti hai
mujhe mahsus hota hai
mera har uzw
markaz se baghawat kar chuka hai
KHun ke dauran ke ham-rah
baktar-band gaDi mein
musallah faujiyon ke sath
koi qaid ho kar ja raha hai
khul gae hain sab masham-e-jaan ke phaTak
khaDi hain sar jhukae saf-ba-saf
haare hue alfaz ki faujen
koi is shahr ki tahzib le kar ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.