sukut gulnar ho rahi hai
ufuq kī sīḌhī utar ke sūraj
sukūt-e-dariyā ko chūmtā hai
sukūt gulnār ho rahī hai
kanār-e-dariyā khaḌe hue sab
daraḳht hairat se dekhte haiñ
sukūt meñ rañg
rañg meñ chhab
vahīñ pe koī
kanār-e-dariyā bichhī huī ret kī darī ko
ulaT ke jānāñ
kisī taqaddus-ma.āb saa.at
likhī huī ik
hasīn sī nazm DhūñDhtā hai
ufuq ki siDhi utar ke suraj
sukut-e-dariya ko chumta hai
sukut gulnar ho rahi hai
kanar-e-dariya khaDe hue sab
daraKHt hairat se dekhte hain
sukut mein rang
rang mein chhab
wahin pe koi
kanar-e-dariya bichhi hui ret ki dari ko
ulaT ke jaanan
kisi taqaddus-maab saat
likhi hui ek
hasin si nazm DhunDhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.