sukut
Interesting Fact
(Ottawa, 17th October, 1982)
raat phailtī ga.ī hai
duur duur jañgaloñ meñ
rāsta TaToltī
havā kī saa.eñ saa.eñ
jaise saañs ruk rahī ho
os sogvār
zaar zaar ro rahī ho
lāla-zār meñ guloñ kī patiyāñ
bikhar ke raakh ho rahī huuñ
āḳhirī ummīd
TimTimā ke bujh ga.ī hai
vaqt bah chukā hai
tham gayā hai
saa.eñ saa.eñ ruk ga.ī hai
raat phailti gai hai
dur dur jangalon mein
rasta TaTolti
hawa ki saen saen
jaise sans ruk rahi ho
os sogwar
zar zar ro rahi ho
lala-zar mein gulon ki patiyan
bikhar ke rakh ho rahi hun
aaKHiri ummid
TimTima ke bujh gai hai
waqt bah chuka hai
tham gaya hai
saen saen ruk gai hai
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 15)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.