sukut
so rahī thiiñ naddiyāñ aur jhuk ga.e the barg-o-bār
bujh gayā thā ḳhaak kī nabzoñ meñ hastī kā sharār
chāñdnī maddham sī thī dariyā kī lahreñ thiiñ ḳhamosh
be-ḳhudī kī bazm meñ TuuTe paḌe the sāz-e-hosh
bhīnī bhīnī bū-e-gul raqs-e-havā kuchh bhī na thā
sehn-e-gulshan meñ udāsī ke sivā kuchh bhī na thā
ik hijāb-e-tīragī thā dīda-e-bedār par
kuchh dhuāñ sā chhā rahā thā husn ke anvār par
is dhueñ meñ ruuh kī tābindagī khote hue
maiñ ne dekhā nau-e-insānī ko gum hote hue
so rahi thin naddiyan aur jhuk gae the barg-o-bar
bujh gaya tha KHak ki nabzon mein hasti ka sharar
chandni maddham si thi dariya ki lahren thin KHamosh
be-KHudi ki bazm mein TuTe paDe the saz-e-hosh
bhini bhini bu-e-gul raqs-e-hawa kuchh bhi na tha
sehn-e-gulshan mein udasi ke siwa kuchh bhi na tha
ek hijab-e-tiragi tha dida-e-bedar par
kuchh dhuan sa chha raha tha husn ke anwar par
is dhuen mein ruh ki tabindagi khote hue
main ne dekha nau-e-insani ko gum hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.